AAJ KA SAWAL No. 2548
Ek baar janaze ki namaz padhi gai fir dobara apne watan me jaa kar uspar namaze janazah padhna kaisa hai?
Kis surat me dobarah namaz padhane ki ijazat hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Wali (Maiyyat ka qareebee rishtedar) ne khud Namaze Janaza padhi ya uski ijazat se Namaze Janaza padhi gayi (Ijazat chahe saaf dee ho ya dalaalatan- jaise ajaanib (doosre logo ne) Apne taur par namaz shuroo’a ki aur Wali ne uski iqtida kar li) to Farze Kifaya adaa ho gaya aur tamam logo ki taraf se yah fareeza Saaqit ho Gaya (utar gaya)
Ab agar doosre log Namaze Janaza padhna chahe to Hanafi Maslak ke mutabiq unke liye ijazat nahi, isliye ke Namaze Janaza Farze Kifaya hai, jab 1 martaba adaa kar li gayi to sab ki taraf se fareeza Saaqit ho gaya.
Albatta agar Wali ne namaz na padhi ho, aur na uski ijazat se namaz padhi gayi ho, to Wali I’aadah-lotana kar Sakta hai.
Malikul Ulama, Allama Kaasani (Rahmatullah) ne bada’eeus Sana’ia me Rivayat naqal farmai hai : Huzoore Aqdas (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne ek janaza ki namaz padhai uske ba’ad Hazrat Umar (Radiyallahu anhu) aur aap ke saath me kuchh log haazir huve aur dobarah Namaz padhni chahi, Huzoor (Sallallahu Alayhi wasallam) ne Irshad Farmaya : “Namaze Janaza dobaarah nahi padhi jaati, albatta tauba aur istigfaar karo. (Bada’ee Sana’ai : 113)
FATAWA RAHEEMIYYAH 7/48
BA HAWALA
SHAMI 1/825
HIDAYAH SHARHE INAYAH 2/121
و الله اعلم بالصواب