Foda Ya Zakham Ki Patti Me Khoon Nikalna








Foda Ya Zakham Ki Patti Me Khoon Nikalna

⭕AAJ KA SAWAL NO.3298⭕

Foda ya Zakham ki patti ke andar nikalta ho to wuzu ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Agar kisi shakhs ko Phora ya Phunsi nikal aaye, aur usse khun pip nikalta hi rahta he, jiski bina par usne uspar Ruy rakh kar patti bandh di, aur ab khun andar hi andar nikalta he, patti ki vajah se bahar na nikle, to agar itna khun nikle ke use roka na jata to vo zakham ke maqam se aage barh jata, to us surat me vuzu tut jayega.

📘FATAWA DARUL ULOOM DEWBAND BAND.1/265

BA HAWALA

📗DURRE MUKHTAR ALAA RADDIL MUHTAR 1/251
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *