GAIR MUSLIM COMPANI KE DIBBON KA GOSHT KHANA
SAWAL
Baz gair muslim companiya bhi dibbon me band kiya huwa gosht bechti hai dibbon par halal gosht likha rehta hai muslman ko in ki ye baat mankar us gosht ko istiamal karna kesa hai? Aur jo log us ko istiamal karte hai un ki iqtidaa me namaz parhna kesa hai?
JAWAB
Aesa gosht na khayen, jo log zati tahqeeq ke baad jaiz aur halal hone ki wajha Se khayen us se tarruz na Karen (un ke pichhe na pade) un ko ye na kahe ke aap ne haram khaya hai, na un ke sath aesa muaamala karen jesa haraan khanewalon ke sath kiya jata hai.
(Alamgeeree5/308)
FATAWA MAHMOODIYAH DABHEL 18/38