GHAR PAR TIRANGA LEHRANA

GHAR PAR TIRANGA LEHRAN

⭕AAJ KA SAWAL No. 2939⭕

Is sal 15 August ko azadi ko 75 saal ho rahe hai isliye Abhi sarkar ki taraf se ye aela’n hai ke 13,14,15 tareekh ko har ghar par tiranga lehraya jaye to is bare me sharee’at kya kehti hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Mulk ko azad karane me musalmanon badi hee qurbani hai.
ye hamare desh ka jhanda hai jise tamam qaumon ko saamne rakh kar banaya gaya hai.

tiranga ki final design muslim khatun Suraiyya badrud deen taiyabee ki hai (bazon ke is me ikhtilaf bhi hai)
lihaza hamen badey fakhr se har ghar me lehrana hee chahiye,
ye ek sarkari amal hai, islami mulkon me bhi hota hai, shareat me lehrane ki koi haraj nahi.

📘KITABUL FATAWA 1/280 SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *