GUSAL KE FARZ KONSE HE ?

SAWAL

GUSAL KE FARZ KONSE HE ?

JAWAB

  1. Tamam Badan Ke Zahire Hisse Ka Sarse Pair Tak Dhona. Is Tarah Ke Baal Ke Barabar Jism Ka koi Hissa Sukha Rahne Na Paye. Naaf Ka Dhona Farz He. Darhi, Munchh aur Unke Niche Ke Hisse Ka Dhona Farz He. Agar Che Ye Chize Ghani(Geech) Ho Aur Unke Niche Ki Jagah(Chamri) Nazar na Aati Ho. Sar Ke Baalo Ka Dhona Farz He Agarche Unme Gond(Koi Chikni Chiz) Lagi Ho. Anguthi Agar Tang Ho Kaan Ke Surakho Me Baaliya Ho Ke Bagair Harkat Diye Huwe Pani Jism Tak Na Pahuche To Unka Harkat Dena Farz He Aur Kaan Ke Surakho Me Agar Baaliya Na Ho Aur Surakh Agar Band Na Huwe Ho To Agar Bagair Haat Se Male Huwe Ya Koi Tinka Wagairah Daalkar Unme Paani Pahuchana Farz He.  Ilmul Fiqah – 93  Hidayah – 1/10
  2. Kulli Karna Lekin Gargarah Karna Farz Nahi He Jaisa Ke Logo Me Mashhur He.
  3. Naak Me Pani Daalna Lekin Naak Ki Naram Haddi Tak Pani Pahuchana Farz Nahi Balke Behtar He.  Kitabul Fiqah – 1/180 Albatta Naak Ke Andar Jo Mail Naak Ke Luaab(Rinth) Se Jam Jata He Usko Chhurakar Us Ke Niche Ki Satah(Hisse) Ka Dhona Wajib He. Ilmul Fiqah 1/94 Bahawala Masaile Gusal Safa 21

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *