Haajiyon Ka Isteqbal Karna Aur Haji Ki Mulaqat








Haajiyon Ka Isteqbal Karna Aur Haji Ki Mulaqat

⭕AAJ KA SAWAL NO. 1141 ⭕

🅰 Hajj karke aane wale hajiyon ke rishtedar, dost airport ya railway station par badi ta’daad me lene jaate hain, haji ke baahar aate hi usey phoolon se laad dete hain, unse galey milte hain, haji sahib bhi haar pehne huwe ek sajee sajaayi gaadi me dulhe ki tarah beth jate hain, galiyon aur mohallon, aur ghar ko bhi khoob sajaya jaata hai, jagah jagah hajj Mubarak ke takhte lagaye jate hain, baaz log to mukhtalif naarey bhi lagate hain, Maaloom ye karna hai ke in sab baton ki sharaee hesiyat kya hai ? kyaa is tarah ikhlaas barqaraar rahega ?

🅱 Haji ki mulaqat kaise karen ?

🔵JAWAB 🔵

🅰 Hajiyon ka isteqbal achchhi baat hai, lekin ye phool, naarey, wagerah hudood [shariyat ki had] se tajawuz [aagey badhna] hai, agar haaji sahib ko dil me ujb [apne ko achchha ya kuchh samajhna] paida ho jaye to hajj zaye’a [barbad] ho jayega, is liye in chizon se aehtraz karna [bachna] chahiye.

📚Aap ke masail aur unka hal jild-4, safa 161.

🅱 Huzoor e aqdas صل اللہ علیہ وسلم ka irshad hai ke jab kisi haaji se mulaqat ho to usko salaam karo, aur usse musafaha karo, aur isse pehle ke wo apne ghar me dakhil ho apne liye duaa e magfirat ki usse darkhast karo, ke woh apne gunahon se paak saaf hokar aaya hai.

📚Musnade ahmed, mishkaat.

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

🕌Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *