HAAJIYON KA TOHFA & HAAJI KEHELWANA

HAAJIYON KA TOHFA & HAAJI KEHELWANA

⭕AAJ KA SAWAL NO 2947⭕

🅰Jab haaji hajj karke aate hain to tabarruk ya hadiye ke naam se ek rasm adaa karte hain, jisme woh khajuren, zamzam, aur unke saath doosri cheezen tasbih, musalla, thaal bartan wagerah cheezen rasm ke taur par baantte hain yeh kaisa hai ?

🅱Hajj ki sa’adat haasil karne ke baad apne naam me lafz haaji lagana kya jaiz hai ?
Qur’an aur hadis ki roshni me bateiye taake me bhi apne naam me haaji lagaun ya na lagaun, behtar kya hai ?

🔵JAWAB 🔵

حامد و مصلیا و مسلما

🅰 Dost rishtedaron ko tohfe dene ka shariyat me hukm hai, isse mohabbat badhti hai, magar dilee ragbat aur mohabbat ke bagair mahaz naam ke liye ya rasm ki adaygi aur dikhane ke liye koi kaam karna buri baat hai, hajiyon ko tohfe dena aur unse wasool karna aaj kal ek aisa riwaj ho gaya hai ke mahaz naam aur sharm ki wajah se yeh kaam dil chahe na chahe kiya jata hai, yeh shar’an chhodne ke laaiq hai.

🅱 Apne naam ke saath haaji lafz lagana bhi riyakaari ke siva aur kuchh nahin, hajj to raza e Ilaahi ke liye kiya jaata hai, doosre log agar haaji sahib kahen to koi muzaiqah [haraj] nahin. Lekin khud apne naam ke saath haaji ka lafz likhna bilkul galat hai.

📝 Mufti Imran Ismail Memon

📆 21 Muharram 1444 hijri – 20/08/2022 isvi

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat Gujarat India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *