HAAR, SEHRA PEHNNA, KALGI RAKHNA
AAJ KA SAWAL NO.1579
Dulhe ka haar, sehra pahenna aur hath me kalgi (fulon ka guldasta) rakhna kaisa hai?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Haar, sehra, aur hath me kalgi rakhna ye asal me hindustan ke gair muslimon ki rasm hai, jo nav muslim aur ilm se na waqif musalmano me baqi rah gai hai, aur un ki suhbat se dusre is qism ke gair paband aur aehtiyat na karne wale musalmano me dakhil ho gai hai.
isliye isey chhodna wajib hai.
Hindustan ke ulama ne isey mushabahat ki wajha se mana farmaya hai.
Hazrat mufti kifayatullah sahab, hazrat mufti azeezur rahman sahab, hazrat maulana ashraf ali sahab wagairah ke fatawa me is ko mana likha hai. Aur un sab ke ustazul asatiza.
Hazrat maulana shah ishaq dahelvi Rahmatullahi alayhi (jin ko barelvi bhi apna bada mante hai) unke fatawa me bhi mana kiya gaya hai.
FATAWA MAHMOODIYAH 10/318
SHADI ME PESH AANEWALE MASAIL, SAFA 49
‹ الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH: 09 RABEEUL AAKHAR 1440 HIJRI
Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India
[button color=”red” size=”big” link=”https://www.aajkasawal.in/subscribe-kare/” icon=”” target=”true”]SUBSCRIBE TO AAJ KA SAWAL[/button]