Hadees Bayan Karne Me Aehtiyaat
Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ka Irshad He Jo Meri Taraf Se Jhut Naqal Kare (Yani Galat Hadees Bayan Kare Ya Bheje ) Woh Apna Thikana Jahannam Me Banaye. (Bukhari )
Hazrat Abdullah Ibne Masuood R.A.Jo Ibtidae Islam Me Musalman Ho Gaye The, Habsha Aur Madine Ki Hijrat Jinhone Ki Thi Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Khaas Khadim The, Wuzu Ke Pani Ka Intizaam Jute Uthana Takiya Pesh Karna Inhi Ke Zimme Tha. Tamam Jangon Me Sharik Rahe, Aap Sallallahu Alayhi Wasllam K Ghar Gaye Aur In Ki Walida Ka Kasrat Se Aana Jana Tha Isliye Log In Ko Ahle Bait ( Ghar Ka Membar ) Samjhte The, Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ka In Ke Bare Me Irshad He Ke, “Ibne Masuood Jo Hadees Tum Ko Bayan Kare Use Sach Samjho” Itne Muatamad Aur Yaad Dasht Pakki Hone Aur In Sab Baton Ke Ba-Wajud Abu Amr Shaybani R.A. Kehte He Ke Me Ek Saal Tak Ibne Masuoid R.A. Ke Pas Raha Mene Kabhi Bhi Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf Mansub Kar Ke Baat Karte Nahi Suna, Lekin Agar Kabhi
Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf Koi Baat Mansub Kar Dete The To Badan Par Kapkapi Aa-Jati Thi.
Amr Ibne Maymoon R.A. Kehte He Ke Ek Martaba Hadees Bayan Karte Huwe Zaban Se Ye Nikal Gaya Ke “Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ne Ye Irshad Farmaya” To Badan Kaanp Gaya Aankhon Me Aansu Bhar Aaye Peshani Par Pasina Aa Gaya Ragen-Nase Ful Gayi Aur Farmaya “Insha Allah Yahi Farmaya Tha Ya Is Ke Qareeb Qareeb Tha Ya Us Se Kuchh Jyada Ya Is Se Kuchh Kam”
(Musnade Ahmad Muqaddamae Awjas)
Faaida: Ye Thi Un Hazraat Ki Aehtiyat Hadees Sharef Ke Bare Me Ye Hazrat bawajud Ye Ke Masa’il Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ke Irshadat Aur Halaat Hi Se Batate The Magar Ye Nahi Kehte The Ke Huzur Sllallahu Alayhi Wsllam Ka Irshad He, Ke Khuda Na Khawastah Jhuth Nikal Jaye Us Ke Bil-Muqabil Ham Apni Halate Dekhte He Ke Be-Dhadak Be-Tahqeeq Hadees Naqal ( Sms ) Kar Dete He, Zara Bhi Nahi Jijhakte.
Halan Ke Huzur Sallallahu Alayhi Wasallam Ki Taraf Mansub Kar Ke Baat Naqal Karna Badi Sakht Zimmedari He.
Ummid He Ke In Baton Ko Padhne Ke Baad Bagair Hawale Ki Hadees Aur Koi Bhi Baat Allah Ki Taraf Mansub Ho Sms Hargiz Nahi Karenge. Insha Allah.