Haji ki Chand Galtiyo ki taraf ishara
(Jinko aksar haj par aur umrah par jaane wale kar dete aisi galtiyan jinhne wo galti nahi samjhte)
1- Apne raaste ke Mikaat se bager ahraam ke gujar Jana, Jo shakhs esa kare us per laajim hai k wo dobara Mikaat se aakar ahraam baandhe, agar esa na kar sake to Dam Ada kare.
2- Tawaf karte hue asaani ya jaldi ki bina per Hajre Ismaiel( Hateem) ke andar se gujarna, Jo k Kaaba ka hee hissa hai,is soorat me Tawaf batil ho jata hai.
3- Hajre Aswad per Chehra ya sar ka koi hissa barkat ke liye ragadna, jabki ise sirf haath se chhoona ya bosa dena hee sunnat hai.
4- Kaaba sharif ke charo kono ko chhoona, Diwaro ko choomna, apna jism ragadna, jabki Huzur SaLLaLLahu ALayhi Wasallam ne siwaye rukne Yamani or Hajre Aswad ke, kisi aur jagah ko nahi chhua.
5- Tawaf karne walo ka buland awaaz se zikr or Duae padna,Jo ke logo ke liye sakht takleef ka baais banta hai.
6- Tawaaf ke baad Maqame Ibrahim per hee logo ka kasrat ke bavjood 2 rakaat Ada karna, jabki is soorat me 2 rakaat Masjide Haram ke kisi bhi jagah Ada karna durust hai.
7 – Sai’e ke agaaz me ya fir har chakkar ke akhtetam per baaj logo ka Safa Marva per Chadkar Kaaba sharif ki taraf moonh karke do no haatho se takbeer kehte hue is tarah ishara karna jese wo namaz me Takbeere Tehrima ke waqt do no haath uthate hai,Jabki Aap SaLLaLLahu ALayhi Wasallam sirf haatho ko uthakar qibla rukh dua ki hai.
8- Baaj Hajiyo ka Maidane Arafaat se bahar kisi jagah theharna or saara din gujaar kar isi jagah se Muzdalfa ka rukh karna, isse unka hajj jaaya ho jata hai kyuki waqoofe arafaat hajj ka rukn hai.
9- Baaj logo ka Kaabatullah ke Jable rehmat ki taraf moonh karke dua mangna,jabki sunnat tareeka qibla rukh hokar dua maangna hai.
10- Baaj logo ka Arafa ka roza rakhna, Jo k sarasar khilafe sunnat hai.
11- Baaj logo ka ek hi mutthi me 7 kankriya lekar ek baar hee fekna, ulma ne is soorat me use sirf ek kankri hee shumar kiya hai.
12- Baaj logo ka aur khas tor per aurto ka logo ki bheed ke khof se doosro se kankriya marwana, jabki ye rukhsat sirf kisi bimar ya taaqat na rakhne walo ke liye hai.
13- Baaj logo ka Tawafe vida ke baad Masjide Haram se ulte paav kaaba ki taraf rukh karte hue is guman se nikalna k ye Baitullah ki tazeem hai, iski shariyat me koi daleel nahi.
14- isi tarah Masjide Haram ke beruni darwaze per beth kar musalsal dua karna or ye khayal karna k wo Baitullah ko vida kar rahe hai, iska koi sharai saboot nahi, Jabki sawab ki niyat se kiye jane wale kisi bhi amal ke liye Sharai daleel jaroori hai.
15- Baaj Jaayreen Makka Mukarrama ke qayaam ke dauran mukhtalif maqamaat ki jiyarat ka ahatmam karte hai, aur Masjide Haram ki ek laakh namazo ki azro sawab rakhne wali bajamaat namaz ko chhod dete hai, ya qaza karke ada karte hai.
16- Baaj Maqamaat jese Gare sor, Gare hira, Jable sor, Jable hira, Jable rehmat tak mashakkat jhel kar Jana, waha bethkar lambi ibadate karna, chille kaatna vagera, ye sab kaam gair mashrooa hai.
17- Huzur SaLLaLLahu ALayhi Wasallam ki Qabr Mubarak ki jiyarat ke waqt Roza-e-aqdas ka tawaf karna,uski diwaaro or lohe ki jaliyo ko haath ferna, moonh, chehra, jism ragadna, ese hi khidkiyo, jaaliyo per dhaage baandhna, gair sharai amaal hai, Jabki sharai tareeka ye he k darood salam pada jaye or qibla rukh hokar dua kiya jaye.
19- Jannatul Baqi ya Shohdae uhad ki qabro ki jiyarat karte waqt unki taraf rupya paisa patakna, likhe khat fekna, Murade maangna, khilafe sunnat hai.
20 – Masjide nabvi ki jiyarat ke baad ulte paav wapas aana sunnat se sabit nahi.
ReF:
📔Hajj & Umrah [Guide Book], Safa Number-80