HAJJ ME TAKHEER
⭕AAJ KA SAWAL NO.1769⭕
Kya haj farz ho jane ke baad usee saal jana zaroori hai aayindah saal bhi itminan se haj kar sakte hai?
🔵JAWAB🔵ؔ
حامدا و مصلیا مسلما
Sharaait paye jane ke baad pehli fursat me haj ki adaayigi wajib hai agar bila uzr takheer-der ki to gunehgar hoga. Agar takheer ke baad ada kar liyato gunah saqit-door ho jayega.
📗BAHRUR RAAIQQ 2/310
📘BA HAWALA KITABUL MASAIL 3/76
و الله اعلم بالصواب
🌙🗓ISLAMI TAREEKH :
20 SHAWWALUL MUKARRAM 1440 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.