Hajj Par Jane Wale Ko Mutalliqeen Se Milkar Jana Chahiye

Hajj Par Jane Wale Ko Mutalliqeen Se Milkar Jana Chahiye

AAJ KA SAWAL No.3208

Hajj par jo ja Raha ho us ko ham Milne jayen? ya woh ham ko milkar jaye? kyun ke hadees me aaya hai ke haji hajj kar ke aayen to un ki mulaqat karo, to kya haji ki mulaqat uske aate waqt aur jate waqt dono waqt hame karni hai?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما
Chalte Waqt Maqami rishtedar aur doston Se Mulaqat Kar Ke Unko Alvida Kahe Aur Un Se Apne Liye Dua Ki Darkhvast Kare, Ke Unki Duayen Bhi Uske Haq Me Khair Ka Sabab Hogi.

Nabi E Karim Sallallahu Alayhi Va aalihi va Sallam Ka Paak Irshad He : Jab Koi Aadmi Tum Me Se Safar Kare To Apne Bhaiyon Ko Salam Kar Ke Jaaye, Unki Duayen Unki Dua Ke Sath Milkar Khair Me Zyadti Ka Sabab Hogi, Alvida Kahte Waqt Masnun Ye He Key yun Kahe :
اَسْتَوْدِعُ اللّٰهَ دِیْنَکُمْ وَاَمَانَتَکُمْ وَخَوَاتِیْمَ اَعْمَالِکُمْ
Astavdi-U-llaaha Dina-kum va Ama-naa-ti-kum va khavaateema a’maalikum

📕FAZAILE HAJ SAFA 711

Buzrugon ka ma’mool raha hai ke woh haji ko rukhsat karne ke liye chand qadam sath chalte the aur un ka istiqbal bhi karte the.

📗FAZAILE HAJ SAFA 661

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *