HARAAM AAMDANI (INCOME) WALON KI NOKRI

⭕AAJ KA SAWAL NO. 2732⭕

Jin logon ki aamdani haraam hai un ke yahaan nokri karna jaiz hai ya nahin?

Isee tarah unko apni koi chhez bech kar un se paisa lena kaisa hai?

🔵 AAJ KA JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jinki aamdani bilkul khalis haraam hai jaise sood lena, sharab bechna, zina ke liye ladkiyon ka intizam karna wagairah to unke yahaan nokri jaiz nahin aur jo tankhwah (salary) usme se milti hai woh halal nahin.

Isee tarah apni cheez unke haath bech kar usee male haraam se qeemat lena bhi halaal nahin.

Haan jin logon ki aamdani (aawak, income) shak wali ya haraam aur halaal mixed (miljhuli) ho ya’ani haraam cheez bhi bechte hai aur halaal cheez bhi lekin halaal cheez ziyadah bechte hai ya haraam ke saath dusra halaal kaarobar bhi hai aur uski aamdani ziyadah hai us waqt unke yahaan nokri karna aur apni cheez unke haath bechna jaiz hai basharte ke tankhwah ya qeemat halaal mal se den ya us maal se den jis me halaal ziyadah ho agarche aisa karna taqwe ke khilaf hai (ya’ani aisa paisa lene se bachna taqwa aur behtar hai)

📗JADEED MUAAMALAT KE SHAREE AHKAAM 1/249

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *