AAJ KA SAWAL NO.2667
Gairon ki taraf se yah aetraz kiya jata hai ke Huzoor SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ne Hazrat Aishah Rd. se jin ki umr sirf 6 saal thi, jo bety ki umr hain un se is umr me nikah kyun kiya?
JAWAB
حامد ومصلیا و مسلما
Nikah 6 saal ki umr me huwa tha lekin rukhsati (bidayi) 9 saal ki umr (garm mulkon ki balig-pakki umrwali hone ki umr) me hui thi Arab me badi umr wale ka chhoti umr wale se nikah karna aam tha, koi tajjub ki cheez nahi tha isliye kuffar aur yahodiyon ne Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM par bahot se e’atiraz-ishkal kiye lekin yeh eatiraz kisi ne nahi kiya aur Nabi SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ko (Allah ki panah) bure alqab jaise jadugar, diwana wagairah kaha lekin aajkal ke kafiron ne jin laqab ka isteamal kiya woh kisi ne nahi kiya agar yeh us samaj me bura hota to zaroor un alfaz ka isteamal karte.
kyun ke us waqt ke kafir koi mavqah huzoor salallahu alayhi wasallam ko badnam karne ka haath se jaane nahi deta the.
Hazrat Aishah Rd. islam ke dusre khalifa (badshah) Hazrat Abubakr (radeeallahu anhu) ki beti thi.
Is kam umr ki shadi ki asal wajah nubuwwat aur khilafat ke darmiyan talluq ki mazbuti thi, kyun ke Nabi Karim SALALLAHU ALAIHI WASALLAM ke baad khilafat ka silsila ALLAH ko Hazat Abubakr Rd. se chalana tha khilafat ko nabi ke ghar se bhi jorna maqsood tha.
Arab ki garam (hot) aabohawa Insani badan ke badhane (development) me Important (khaas) role ada karti hai aur dusri baat yeh ke jis tarah ALLAH Ta’ala kuchh logon ko height body umar aur brain power ability dusray logon se badh kar deta hai.
ALLAH to buhat badaa hai, agar woh kisi baat ka hukm de ya’ani chhoti umr ki ladki se badi umr ki ladki Ka kaam lena chahe to woh ho jaata hai.
Aur islam me qaidah hai ke bachpan me maa-baap nikah kara de to ladki ke balig hone ke baad use yeh ikhtiyar (chhut) hota hai ke chahe to woh nikah ko baaqi rakhe chahe to tod de yeh bidaayi Hazrat Aishah radiyallahu anha ki ijazat aur khushi se hui thi, aur poori zindagi apne is nikah par fakhr (garv) karti thi. aur us waqt musalman ki 9 saal ki har ladki aur us ke maa-baap huzoor salallahu alayhi wasallam ke saath nikah me dene ke liye betab the yeh us zamane zarra barabar aib (buri cheez) na thi
Lekin yeh sachchai woh log nahi mante jin ke dilon per muhar (seal) lagaa diya gaya hai. Allah ta’ala Qur’an me irshad farmate hain ke
‘’Allah ne in (kuffar) ke dilon aur un ke kaano per mohar laga di hai aur un ki ankhon per pardah pad gaya hai (isliye un ki samajh me nahi aata) woh sakht azaab ke mustahiq hain.
و الله اعلم بالصواب
Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab
Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.