Language
Click below for languages:
Hazrat Mahdee Radi Allahu Anhu Ki Pehchan
⭕AAJ KA SAWAL NO.3385⭕
Mirza qadyani ne kaha tha ke me mahdi hun, aur shakil bin hanif nami shakhs bhi dawa karta hai ke me mahdi hun.
to hame kaise pata chale ke asal mahdi kon hai ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Ahadees, sahaba Radee Allahu anhum ke aasaar, aur aqwale tabieen, in tamam ki roshni me Hazrat mahdi RadeeAllahu anhu ki saheeh pehchan ho us ke liye hamare akabreen ne un ke haalat likhe hai, jin me se un ka naam aur nasab pesh kiya jata hai.
Aap ka mubarak naam Muhammad hoga,
aap ke walid ka naam Abdullah hoga,
aap ka khandani talluq ahle bait yani banu Hashim se hoga,
Aap apne walid ki taraf se hazrat Muhammad ﷺ ki sahabzadi hazrat fatima radi Allahu anha ke bete hazrat hasan RadiAllahu anhu ki awlad me se honge, aur walida ki taraf se hazrat husain RadiAllahu anhu shaheede karbala ki awlad me se honge
Hardee’s me hai ke mahde Ka rang saanwla hoga aur Dubla patla lamba badan hoga
📕 MUNTAKHAB KANZUL UMMAL MUSNADE AHMAD KE HAASHIYE PAR 6/34
Dusri hadees me hai ke
mahdee meri awlad me se hai jo chodi peshani aur patli naak wale honge
📘ABU DAWOOD 2/588
Ek aur hadees me hai ke woh zameen ko isee tarah adlo insaaf se bhar denge jis tarah woh zulmo sitam se bhari hui thi woh (itne) saal zinda rahega (ye farmane ke baad)aap sallahu alayhi wasallam ne (pancho ungliya felate huwe) bayen hath ko khol diya aur dayen hath ki do ungliya (shahadat ki ungli aur anguthe) ko khol diya aur baqi tin ungliya bandh rakhi (goya kul saat ungliya khol dee)
Yani saat saal hukoomat karenge
📗(MUSTDRAK HAAKEEM 4/600NO.8670)
📚(ZUHOORE MAHDI KAB, KAHAN, AUR KIS TARAH SAFA 113
BA HAWALA ABU DAWOOD 2/589 HADEES NO. 4299, WAGAIRA)
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.