ISLAHEE NUSKHA

⭕AAJ KA SAWAL No. 2843⭕

Har qism ki neki karna aur har qism ke gunah se bachna to mushkil hai.kya aese chand nek kaam hai jise karun to dusre nek kaam karna aasan ho jaye aur chand hee aese gunah hai jis se bachu to dusre gunahon se bachna bhi aasan ho jaye.

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Han aese 6 nek kaam hai aur 6 gunah ke kaam hai jis se aap ka maqsad hasil ho jayega.
Hakeemul ummat hazrat Maulana Ashraf Ali thanvi rahmatullahi alaihi ne likha hai ke

6 NEKI JO DUSRI NEKIYON MI TARAF LE JAYEGI.

1.Ilme deen hasil karna chahe kitabon se ho ya ulama se.

2.Panch waqt ki namaz mardon ke liye jamat ke sath har hal me pabandi.

3.Allah ke nek bandon ki suhbat rozana ya har hafte ya mahine me kam se kam ek baar suhbat ka asar zaroor hota hai

4.Kam bolna aur kam milna
jis me dunya ya aakhirat ka faidah ho wohi bat soch kar bole aur unhi se mile.bila faida na bole na mile

5.Muraqaba aur muhasaba yani pure din ye dhayan rakhna ke Allah mujhe dekh raha hai,aur raat ko sone se pehle apne pure din ke aamal ka hisab jo neki hui us par shukr kare aur baqi ho to sone se pehle us ki qaza kare aur jo gunah huwe ho us par istigfar kare.

6.Tauba aur istigfar jaise hi koi gunah ho to foran tauba istigfar kare warna ek gunah dusre gunah ko khinch layega kisi ko taklif pahonchai ho to us se muaafi maang le nuqsan kiya ho to us ki talafi kare.

6 GUNAH JIS SE BACHNE PAR DUSRE GUNAH SE BHI HIFAZAT HOGI.

1.Zulm kisi ka koi haq na mare kisi ko kisi qism ki taklif na pahonchaye.

2.Giza e haraam thoda kamaye likin halal hee kamaye haraam pet me jayega to na chahte huwe bhi haraam kam aur gunah wajood me aayenge.

3.Guroor Apne ko kisi se behtar na samjhe koi haq baat bataye to shukriya ke sath qabool kare apne ko saheeh sabit karne us ko jawab na de.

4.Gair mahram se ta’lluqat agar kisi se ho to khatam kar de us ke sath bat chit,msg aur Milne se sakht parhez kare is ki itni kharabiyan hai ke use likha bhi nahi jasakta

5.Geebat kisi aese baat us ki gair mavjoodgi me na kare ke agar woh use sune to use bura lage agarche woh baat haq ho aur aap samne kehne ki taqat bhi rakhte ho.

6.Gussa kabhi aesa nahi huwa hoga ke gussa kar ke pachhtawa na huwa ho us waqt aal kam nahi karti lihaza use qabu me lene ki tadbeere imhtiyar kare.

📗 JAZAUL AAMAL.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *