ISTINJAA KARNE KA HUKM

ISTINJAA KARNE KA HUKM 1520

Mene chhota aur badaa istinjaa kiya uske baad dekha ke baitul Khala me paani nahin tha aur koyi intizam na ho saka to me wahaan se uth gaya, ab me aisi haalat me masjid me aa sakta hun aur namaz padh sakta hun?

 

JAWAB:   حامدا و مصلیا و مسلما

ISTINJAA KARNE KA HUKM‘: Agar peshab aur pakhana nikalne ki jagah se aaju baju faila nahi hai, na-paaki sirf nikalne ki jagah par hi lagi hai, to istinjaa karna sunnat hai.

Agar na-paaki nikalne ki jagah se aage badh gayi hai, aur woh nikalne ki jagah ko chhod kar andaza kiya jaaye, to patli najaasat dirham ya’ani hatheli ki gehrayi se ziyadah na faili ho, to bhi uska dhona sunnat hai, aur hatheli ki gehrayi se ziyadah faili ho, to uska dhona waajib hai, aur garhi (thick) najasat ho to uska failav nahin dekhenge; balke uska wazan dekhenge, uska wazan ek dirham ya’ani 4 gram 374 mili gram se ziyadah ho, to uska dhona waajib hai, aisi najasat ke saath na masjid me aana jaiz, na uski namaz hogi.

Haan dirham se kam hogi to uska dhona sunnat hai, to us haalat me masjid me aa sakte hain, namaz bhi ho jayegi; lekin us kam najasat ka bhi dho lena behtar hai, pura gusal karne ki zarurat nahin.

UMDATUL FIQA 1/325

MASAILUL MEEZAN SAFA 38

و الله اعلم بالصواب

ISLAMI TAREEKH: 10 SAFARUL MUZAFFAR 1440 HIJRI

ISTINJAA KARNE KA HUKM” By:

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chishti.

Ustad e Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

 

[popup_trigger id=”895″ tag=”P”][/popup_trigger]

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *