JANAZE KO KANDHA DETE WAQT KIYA KARNA CHAHIYE?

SAWAL

JANAZE KO KANDHA DETE WAQT KIYA KARNA CHAHIYE?

  1. SIRF KALMA-e-SHAHADAT KOAAWAZ SE PADHE
  2. BULAND AAWAZ SE ZIKR KARE
  3. KALIMA-e-TAYYIBA AAWAZ SE PADHE
  4. KOI BHI ZIKR AAHISTAH SE KARE

JAWAAB

JANAZAH KE  SAATH  JAHRAN  KALIMA  TAYYABA  PARHNA  BIDAT  HAI.

[ AHSANUL FATAWA 1/338 ]

[ FATAWA MAHMOODIYAH 2/401]

[ ALAMGEERI 1/104 ]

JANAAZAH  KE  SAATH  AHISTA  ZIKR  KI  IJAAZAT  HAI,,ZOR  SE  PARHNE  KI  IJAAZAT  NAHI  MAKROOH  HAI,IS NE RIYAKARI KA BHI ANDESHA HAI

JANAZAH  KE  SATH  DIL  DIL  MAI  ALLAH  KA  ZIKR  KIYA  JAYE  JAHRAN-ZOR SE { LOUDLY} ZIKR  KARNA  MAKROOH  HAI,….CHALTE  CHALTE  TANHA  TANHA  ZIKR  KARNE  MAI  HARAJ  NAHI.

FATAWA  RAHEEMIYA 6/194

SHAMEE 1/838, BAHRRURAIQ 2/192

JANAZAH  KO  KHAMOSHI  KE  SAATH  LE  JAANE  KA  HUKM  HAI  HADEES  MAI  HAI  KE  JANAZA  LE JAATE  WAQT  KHAMOSHI  IKHTIYAAR  KARNA   ALLAAH  KO  PASANDEEDAH  HAI.

FATAWA  RAHEEMIYA 8/185

JANAZAH  KE  SATH  CHALNE  WALO  KO  KHAMOSH  RAHNA  LAAZIM  HAI, AUR  BULAND  AAWAZ  SE  ZIKR  KARNA  YAA QURAAN  KI  TILAAWAT  KARNA  MAKROOH  HAI  AUR  AGAR  KOI  SHAKHS  ZIKR  KARNA  CHAHE  TO  DIL  MAI  ZIKR  KARE.

SHARHE TAHAWEE1/162

FUQAHA NE  JANAZAH  KE  SAATH ZOR  SE  ZIKR  KARNE  KO  MAKROOH  TAHREEMI  QARAAR  DIYA  HAI

AL BAHRURRAAIQ  MAI HAI KE  JANAZAH  KE  SAATH  CHALNE  WALO KE  LIYE  MUNAASIB  HAI  TAWEEL  KHAMOSHI  IKHTIYAAR  KARE  ZIKRA, QIRAATE  QURAAN WAGHAIRAH  KARTE HUWE  AAWAZ  BULAND  KARNA MAKROOH  HAI  AUR  MAKKROOH  SE  MURAAD  MAKROOHE  TAHREEMI  HAI

KITAABUL FATAWA 3/188

ALLAH TAALA HAME  APNI  RAZA  WAALI MAUT NASEEB  FARMAYE..AUR NAAGIHAANI MAUT  SE  HIFAAZAT  FARMAYE.

AAMEEN

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *