AAJ KA SAWAL No. 2497
Maiyyat ke Janaze par Phool ki Chadar Sawab Ka Kaam Aur Azaab ke Halkah Hone ka Sabab Samajh Kar Daalte Hain, Aur Uski Tayyari Pehle Se Karte Hain, Taaqeer Ho Jaaye To Intezar Kiya Jaata Hai Aur Janaza Uthane me Taaqeer Kee Jaati Hai,
To Kya Iski Koi Asliyat Hai..?
Aur Ye Shara’an Zaroori Hai..?
JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
Iski Koi Asal Nahi Hai.
Aan Hazrat ﷺ, Aur Aapke Sahaba (Radee’Allahu Anhum),Taabi’een, Tabe-Taabi’een Aur Aimma E Mujtab’deen Rahmatullahi Alayhim ke Qaul-O-Amal Se Saabit Nahi. Agar Ye Cheez Maiyyat ke Liye Mufeed Hoti, To Ye Hazraat Us Se Dur Naa Bhaagte.
Lihaza, Janaze Par Phool ki Chadar Daalna Bida’at Aur Makroohe Tahreemi hai.
Hazrat Shah Ishaq Sahab Muhaddis Dehelwi Alayhir-Rahman (Jinko Barelwi Hazraat Bhi Maante Hain Aur Unki Ittiba’a Karne ke Dawedar Hain) Tahreer Farmate Hain : “Wa Chaadare Gulbar Janaza Andaakhtan Bida’at Ast Wa Makroohe Tahreemi. Yaa’ni: Aur Phool ki Chadar Janaze Par Daalna Bida’at Aur Makroohe Tahreemi Hai. (Masaile Arba’een: Safa 45).
Isme Masle ko Barbad Karna Aur Hinduon Se Mushabahat Bhi Hai. Musalman ko Kuffaar Wa Fussaaq (Khullam Khulla) Kabeera Gunah Karne Walon Se Mushabahat Ikhtiyar Karna Haraam Hai.
MAALA BUDDA MINHU SAFA 131
و الله اعلم بالصواب