JANGE AZADI ME MUSALMANO KA BADA HISSA PART.3

JANGE AZADI ME MUSALMANO KA BADA HISSA PART.3

⭕AAJ KA SAWAL No. 2943⭕

Kya is mulk ko azad karaane me musalmano ne hissa nahi liya?
Aaj hamare logon ka naam kyun nahi Nazar aata hai

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Ek Itihaas (History) Likhne Wale Hindu Pandit Mewa Ram Gupta Unki Kitaab Hai Likhi Hui “Muslim Mujhedeen” Uske Page Number 220 Ke Uper Khud Pandit Mewa Ram Gupta Likhte Hai Ke 1857 Ke Ladayi Ke Andar 55000 Maulwiyo Ko Angrezo Ne Fansi Di Hai Aur Delhi Se Lekar Merath Tak Pure Raste Ke Uper Jitne Bhi Darakht The Un Darakht Ke Uper Fansi Ke Rassiya Latkai Gaye Aur Jo Bhi Dadhi Wale Aleme-Deen Najar Ate Unko Pakadte Aur Uske Uper Latka Dete The,
Aur Age Dusri Baat Likhte Hai Ke 55,000 Mulyiwo Ko Aur 50,0000 Musalmano Ko Angrezo Ne Qatal Kiya 1857 Ke Andar ! Is 1857 Ke Andar Is Kadr Qatle Aam Aur Ye Aise Bhi Qatal Nahi Karte The ! Wo Musalman Ulmao Ko Pakadte The Aur Unke Badan Ke Uper Sui Chubhote The Aur Kisi Ko Zinda Churi Se Kat Te The To Kisi Ke Pet Ko Chirte The To Kisi Ke Uper Sanp Bicchu Musallat Krte The Bade Zalimana Andaaz Ke Andar Ulmae-Deen Ko Angrezo Ne Qatal Kiya,

Aur Us Zamane Ke Andar Hamare Sare Akabir Hamare Sare Bujurgane-Deen Hazrat Maulana Qasim Sahab Nanutwi (Rahmullah) Aur Hazrat Maulana Rashidahmad Gangohi (Rahmullah) Aur Hazrat Haji Imdadullahsahab Muhajire Makki (Rahmullah) Aur Hazrat Maulana Muhammad Mazhar Sahab Nanutvi (Rahmullah) Ye Wo Hamare Akabir The Jinhone Merath Ke Baju Me Shamli Ke Maidaan Me Angrezo Ke Samne Zabardst Jung Ladi Aur Aise Jung Ladi Ke Angrezo Ko Waha Shamli Ke Maidan Me Hara Diya Majbur Kiya Bhagne Ke Uper Aur Us Mauke Ke Uper, Bad Me Chalke Kuch Gaddro Ki Wajha Se Halaat Ne Palta Khaya Us Maidaan Me Hazrat Hafiz Zamid (Rahmullah) Saheed Hue Aur Hamare Bahoot Se Akabir Us Mauqe Par Saheed huwe
1857 Ke baad so saal me Taqreeban do lakh musalman shaheed huwe Jin me 55,000 jitne Ulma Saheed huwe.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *