Janwar Ki Umar & Pehchan






JANWAR KI UMAR & PEHCHAN

AAJ KA SAWAL NO.2175

Kaun se Janwar ki Kitni Umra Qurbani ke liye jaruri hai ?

aur Umar Mukammal hone ki kya pahchan hai ?

aur daant Gir Gaye Ho ya daant Hi Na Aaye Ho uski qurbani durust hai ?

JAWAB

حامدا و مصلیا مسلما

Qurbani ka janwar Bakra Bakri gheta Ghenti hai To Ek Sal,
gaay Bhains, pada ho to do Sal
aur unt hai to 5 Sal Mukammal hona zaroori hai.

Albbtta Dunba aur gheta 6 mahine Ka Ho jisko 1 saal ke gheton ke Darmiyaan Chhod Diya Jaaye to Dekhen Mein Uski hight Aur motapay ki vajah se 1 Saal Ka Maloom Hota Ho to uski Qurbani bhi durust hai.

Janwar Qurbani ke layik hai ya nahin uski pahchan Daant Se Hoti Hai, Agar Bakre Mein Upar ke do dant Hai Ek Saal Ka yaqeeni Hai, Kyun ke aam to per sava Saal me daant Aate Hain, aur bade janwar me niche darmiyan ke do daant dusre Daanton ke muqabale mein bilkul numaya hote Hai, is tor par ke woh upar se Thode tedhe ya chodhe hote hai, aam Tor par Sawa do saal Mein Aate Hain, lekin Agar kisi janwar ke Pakke daant Na aaye Ho lekin yaqeeni tor par uski Umar Qurbani ke layak hone ka ilm ho to uski Qurbani bhi durust hai.

FATAWA RAHEEMIYAH

AALAMGIRI 5/114

و الله اعلم بالصواب

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

Ustaze Darul Uloom Rampur Surat, Gujarat, India.

Ilami baat (msj) sikhaana (felana) ibadat se behtar hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *