SAWAL
JOOTE PEHAN KAR NAMAZE JANAZA PADHNA KAISA HAI ?
JAWAB
Aaj kal baaz log janaza ki namaz joote pehne hue padhte he’n, unke liye zaruri he k wo jis jagah khade ho wo jagah aur joote dono paak ho ,varna unki namaz nahi hogi ,
[bahishti gohar]aur agar joota pair se nikaal diya jaye aur us per khade ho to sirf joote ke ouper ka hissa jo per se mila ho uska paak hona zaruri he, agarche talaa napaak ho ,neez is soorat me wo zameen bhi napaak ho to koi harj nahi. Lihaza juta nikalne kee surat aehtiyatwali hai
[bahishti gohar, imdadul ahkaam ahkaam e mayyat,. Safa no. 62]