Juloos Nikaalna Na Jaiz Hone Ke Aqli Dalaail








Juloos Nikaalna Na Jaiz Hone Ke Aqli Dalaail

⭕AAJ KA SAWAL No.3356⭕

juloos nikalna na jaiz hone ki quraan-hadees ke dalaail ke alawa aqli dalaail kya kya hain jis ko ek aam musalman bhi samajh sake ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Juloos nikalna na jaiz hone ke dalaail niche likhe jate hain:

1. Is me raaste band kar diye jate hain jis ki wajah se emergency mareez hospital pohonchne se pehle dam tod dete hain.

2. aane janewale insanon ko bahut taklif hoti hai. Islam to raste se takleef deh cheez hatane ki taleem deta hai na ke takleef dalne ki taleem deta hai.

3. ek do raaste khule hote hain, wahan intihaee traffic hota hai jis ki wajah se waqt aur petrol barbad hota hai.

4. dukane band karni padti hai, jis se un gareebon ki jo roz kamaa kar roz khate hain, rozi chhin jati hai. Islam to Insan ke liye rahmat ban kar aaya hai na ke zehmat ban kar.

5. aurton mardon ka mail jol.

6. taziya ki kasar nikalne ke waste gummade khazra ke qeemti dhaanche hote hain, jis me fuzool paisa aur waqt barbad hota hai.
aise kayi haraam kaam hote hain,

fiqah ka qaaidah hai ke jo mustahab kaam ho lekin us ke karne me haraam kaam bhi ho jate hain, to woh mustahab kaam chhod dena chahiye woh bhi na jaiz ho jata hai.

Doosra qaidah hai ke sawab hasil karne ke muqable me gunah se bachna muqaddam hai.

(AL ASHBAAH WAN NAZAAIR)

Sanjeedah Barelwi Hazraat se Guzaarish hai ke wo Barelwi Allama, Ghulam Rasool Saeedi Sahab ki Ibaarat pe Ghaur karen.

Kya Aaya wo Tamaam Baatein Jo Saeedi Sahab ne Zikr ki hain, Aaj kal ke Juloos me nahi ho rahi hain ?

Kya waqayi Namaz ke Auqaat me Juloos ko Rok-kar Namaz Aada ki jaati hai ?

Kya Waqayi 12 Rabbi-ul-awwal ke din Masjidon me Musalliyon ki Ta’adaad me Bhaari Izaafa hota hai ?

Kya Meelad ke Julooson me Nau-jawaan Be-huda harkatein Nahi Karte hain ?

Har Aankhe Rakhne waala Shakhs Dekh raha hai ke Aaj Meelad ke Julooson ke naam par kya kya Ho raha hai ?

Pas, Hamaari yahi Guzaarish hai ke:

Milad ke Naam par karodon rupiye Kharch-karna,

Namaze Chhodna aur Isme Nav-jawaano ka Be-huda Kaam karna,

Naachna Gaana,

Logon ko Takleef dena,

Raat Raat bhar aur Isi Tarah road par speaker ka Full sound ke saath Chaalu rakhna,

Motor cycle ke Silencer ki awaaz Badaakar Tez chalaana aur

Gair Muslimon ko Dekh-kar Naare Lagaana,
Isse Kaun sa Deeni Farizah aada ho raha hai, Isse Kaise Sachcha Aashiq e Rasool hona Saabit ho raha hai ?

Hum Kisi par Tanz nahi kar rahe hain, Balke Aaj ke Meelad ke Naam Juloos ko Dekh-kar Har Saaheb e Basirat Shakhs (Jisko ALLAH Taala ne Dil ki Aankhe di ho, Jo Waqai me Huzoor sallallahu alaihi va aalihi wasallam ka Sachcha Ummati ho, Jisne Meelaad ke Juloos me hone wali Badi Badi Galatiyon ko Mahsoos kiya hai), wo yahi Kahege ke :

‘AAJ ke Be-hayaai ke daur me Meelad ke Naam par Juloos nikaalne aur Is ko Manaane ki Koi Gunjaaish nahi hai.’

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *