Language
Click below for languages:
Khane Ke Shurooa Aur Akheer Me Namkeen
⭕AAJ KA SAWAL No.3380⭕
Agar dastarkhan par mukhtalif qism kr khane hon masalan meetha ,namkeen-khara to shurooaat kis se kare sur khatm kis par kare?
Mansoon tareeqa kya gai ? Har ka jawab hawale ke sath den
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Namkeen-khare se shurooaaat kare aur namkeen hee par khatm kare, isse maide pr accha asar padta hai sehat ke liye zyada mufed Hai,
Note:- ye adab hai wajib or farz nahin, jo shaqs amal karega ajar-sawab ka mustahiq hoga or jo koi iske khilaf warzi karega Qayamat ke din is pr koi puch۔gaj na hogi۔
📗FATAWA MAHMOODIYA 18/46
📘BAHALA FATAWA ALAMGIRI 5/337
📑 Online fatawa Darul Uloom Deoband
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India