Kin Janwaron Ki Qurbani Jaiz?






Kin Janwaron Ki Qurbani Jaiz?

⭕AAJ KA SAWAL NO.2884⭕

Janwaron ki aesi khaamiyan (aib) kya hain jinke hone ke bawajood qurbani jaiz hai?

♻JAWAB ♻
حامدا و مصلیا و مسلما

In janwaron ki Qurbani jaiz hai

1⃣. Jiska sing toot gaya ho lekin jad-mukh se na toota ho.

2⃣. Aisa khassi ya bura janwar jo jima’a-sohbat na kar sakta ho.

3⃣. Aisi maada jo budhape ki wajah se bachcha na de sakti ho.

4⃣. Bachche wali maada

5⃣. Aisi maada jiske aanchal ka dudh kisi bimari ya aib ke bagair khushk (sukha) ho gaya ho.(agar bimari ki wajah se khushk ho gaya ho to qurbani jaiz nahin).

6⃣. Khaansi ki bimari wala janwar.

7⃣. Daam diya huwa janwar

8⃣. Aisa kaanaa jiska kaanaPan bilkul zahir na ho.

9⃣. Aisa langda jo chal sakta ho, ya’ani pair zamin par tekta aur chalne me pair ka sahara leta ho.

🔟. Aisa bimar jiski bimari zaahir na ho.

1⃣1⃣. Aisa janwar jiska uzw (body part) 1/3 (33%) ya usse kam cut gaya ho.

1⃣2⃣. Jiske Daant na ho lekin Ghaas-Chaara kha sakta ho, Basharte ke yaqeeni taur par uski qurbani ki umr (age) poori ho.

Note:- Baker ke Daant (teeth) sawa 1.25 saal ko aate hain.

1⃣3⃣. Aisa paagal janwar jo Ghas – Chaara kha sakta ho.

1⃣4⃣. Aisi khujli wala janwar jo Motaa-Tagdaa ho.

1⃣5⃣. Aisa janwar jiska Kaan chiraa gaya ho ya’ani lambai me chahe poora fat gaya ho ya chodai (width) me 1/3 -33% se kam cut gaya ho.

1⃣6⃣. Dono kaan thode thode kate ho lekin dono ka total kiya jaye to 1/3-33% se kam ho.

1⃣7⃣. Rasoli (gosht ke andar ke masse, gaanth) wala janwar.

📗Fatawa raheemiyah 3 / 382 qurbani ke masail maulana rafat qasmi rh. ki.

👆👆👆
Upar zikr kiye gaye janwaron ki qurbani jaiz to hai lekin MAKRUHE TANZIHEE hai. (Behtar aur munasib Nahin),
MUSTAHAB yeh hai ke qurbani ka janwar har qism ke aibon se paak aur behtar ho.

📗Khulastul Fatawa 4/320

✏IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO
MUDARRISE DARUL ULOOM, RAMPURA, SURAT, GUJRAT, INDIA.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *