KISI BUZRUG PAR KUFR KA FATWA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2852⭕

Agar kisi ki kufr ki baat zabani ya likhi hui baat ham tak pohonche jis me kufr ka matlab bhi nikalta ho to kya karna chahiye us ki woh baat sunte hi us ko kafir keh sakte hain ?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Allamah qazi sanaullah pani pati Rahmatullahi alayhi likhte hain ke dastoor e quzaat me fataawa khulaasah se naqal kiya gaya hai ke, kisi maslah (baat) me chand matlab kufr ke nikalte hon aur ek matlab kufr ka na nikalta ho to fatwa kufr par na dena chahiye lekin faqeer (me kehta hun ke khud ko aesi baat jis me ek matlab bhi kufr ka nikalta ho bachana chahiye) .

(MAALAA BUDDA MINHU SAFA 129)

Lihaaza kisi ki kufr ki baat sun kar ya padhkar use fauran kafir na kahe balke usse us ka maqsad aur matlab kya hai usee ko puchha jaye phir fesla kiya jaye aur woh wafat paa gaya hai to us ki kitab ki ibarat ka jaiz matlab nikalne ki koshish ki jaye jab tak gaire kufr (ke alawah ka) matlab nikalta ho kufr ka fatwa nahi lagaya jayega.

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *