Sawal..
Kisi ka. Janwar gum hogaya tha us ne dusra kharida phir wo pehle wala wapas mil gaya to kya hukm he
Jawab..
is ki kai surte hen
1.. agar wo aadmi maaldaar he yani us per qurbani wajib he our us ne dusra kharida tha phir pehla mil gaya to wo dono me se jo bhi chahe zabah karsakta he..
Our dusre ko apne kaam me laa sakta he bech bhi sakta he..
2.. agar wo gatib he qurbani wajib nahi thi our us ne dusra janwar nahi kharida to sirf isi janwar ki qurbani karle..
3.. our agar garib ne dusra janwar kharid liya (jo us per zaruri nahi tha) phir pehle bhi mil gaya to ab is garib ko dono janwar qurbani karna zaruri honge…