Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai?

sawal

Kiya train me namaz padhna ho to qibla rukh hona aur qiyam -khade ho kar namaz padhna zarooree hai?

jawab

Train me namaz kisi jankstion(woh jaga jahan train zatada der rukti hai) ya station par utar kar namaz padhni chahiye.

Station aane ka intizar kiya jaye agar namaz waqt makrooh ya qaza hone ka khatra ho to train me hee khade ho kar qibla rukh namaz padhe.puree namaz me akhirvtak wibla rukh hona zarooree hai.jaise jaise train qibla rukh se ghume namazee ko bhi chahiye woh bhi chalu namaz me qible ki taraf ghum jaye.

Bhid bahot zayada ho jis se qibla rukh hona mumkin na ho  ya khade hokar namaz padhne me gir jane ya zayada mashaqqat ho to farz namaz bhi beth kar padhne ki gunjaish hai.agar itni bheed hai ke harkat bhi na kar sake rukooa, sajda ka isharah  kar ke namaz ishare se padhe.aese haalaat me bhi namaz chhodne ki ijazat nahee

Lekeen aesee namaz ko qudrat hone par lotana ya qaza karna zarooree hai.padhne ka faidah ye hoga ke namaz chhodne ka gunah na hoga aur lotane se pehle maut aa gai to is namaz ko.puchh na hogi.

aur zayada mashaqqat ya zayada bhid na ho to qayam karna aur qibla rukh hona zarooree hai.mamooli masgaqqat ya mamooli bheed ki wajha se farz namaz me qayam chhod dega to namaz na hogi.

( fatawa darool uloom zakariya 2/120 se124 ba hawala jadees fiqhee masail 1/128. fatawa mahmoodiyah 5/524 jamiaa farooqiya, ahsanul fatawa 4/88 aur digar kutube fiqhe arabiyyah)

(Fatawa abdul gani safa  208)

Not: baaz traino me darwaze paas zayada  jaga hoti hai wahan do do ki jamat bhi aasani se kar sakte hai.

samne se gair muslim log guzarte ho to  bhi namaz ho jayegi.ise uzr na samjhe.

Jaldi ho to qadah me koi bhi mukhtasar durood padhe.duaa e masoorah ki jaga koi bhi chhoti duaa masalan allah hummag fir lee padh ke salam fer de.

allah taala ham ko har haal me namaz ka aehtamam karne ki aur us ko mavqe ke munasib ada karne ki taufeeq ata farmayen.aameen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *