KUFR KI BAAT YA KAAM KARNE KA HUKM

KUFR KI BAAT YA KAAM KARNE KA HUKM

⭕AAJ KA SAWAL No. 2964⭕

Agar kisi ne kufr ka kalma zaban se bola ya kufr ka kaam kiya jaise murti ke samne hath jodna,aarti utarna to us ka kya hukm hai? kya woh kafir ho jayega? kya us ke zimme dobara kalmah padhna aur nikah karna zarooree hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Jis aadmi ne hansi aur mazaq ki niyyat se kalma e kufr apni zaban se nikala ya koi aisa kaam kiya to woh bil ittifaaq sab ke nazdeek kafir hai. Jis ne galti se kaha ya galti kiya yani bolna kuchh chahta tha aur kalma e kufr zaban se nikal gaya, ya kisi ke Jaan lene ki dhamki se zabardasti kahelwaya to bil ittifaaq – sab ke nazdeek kafir nahi hoga.

Jis aadmi ne kalma e kufr ya kufr ka kaam Jaan boojh kar kufr jante huwe kaha (chahe siyasi fayde ya ekta paida karne ki niyyat se kiya ho) to sab ke nazdeek kafir ho jayega, aur jis aadmi ne kalma e kufr ya kufr ka kaam apne irade aur ikhtiyar se kiya lekin use ye maloom nahi ke ye kufr ka kalmah ya kaam hai to us ke kafir hone me ulama ka ikhtilaf hai Allama Shami rahmatullahi alaihi ne likha hai ke jo kaam ya baat sab ke nazdeek kufr ko wajib karti hai us se zindagi ke tamam nek aamal, nikah, khatm ho jata hai aur jis kaam aur baat ke kufr hone me ulama ka ikhtilaf hai wahan par us ke karne wale ko tauba,istigfar aur dobara kalma aur nikah padhne ka ehtiyatan hukm diya jayega.

📕(MAHMUDUL FATAWA 4/65 BA HAWALA
SHAMI 3/316)

Lihaza aarti utarne aur but ke samne hath jodne wale ko chahiye ke dobara kalma padhe aur dobara nikah padhe.
و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampura, Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *