Ladko Ko Dekhne Ka Hukm | 1499

Ladko Ko Dekhne Ka Hukm No.1499

 

Ladkon Ko Shahwat Ki Nigah Se Dekhna Kaisa Hai?

Shreeat Me Is Baare Me Kya Rahnumai Hai?

 

Jawab:   حامدا و مصلیا و مسلما

Ladko Ko Dekhne Ka Hukm‘:

Agar Ladka Amrad Hai (Ya’ani Uske Munchh Ke Baal Fut Chuke Hain Aur Dadhi Nahin Hai) Aise Ladko Ka Hukm Ba’az Ulamaa Ke Nazdeek Aurat Ki Tarah Hai, Uska Sar Se Pair Tak Ka Jism Chhupane Ke Qabil Hai.

Ladko Ko Dekhne Ka Hukm“: Ibnul Qattan Rahmatullahi Alayhi Farmate Hain: Jis Ladke Ki Darhi Nahin Nikli, Lutf Andoz Hone Aur Lazzat Paane Ki Nazar Se Dekhna Haraam Hai. Agar Lazzat Maqsad Na Ho, Aur Dekhne Wale Ko Fitne Se Itminan Ho To Jaiz Hai.

Ladko Ko Dekhne Ka Hukm

Raddulmuhtaar 1/285

 

Agar Jinsi Mailan Ka Khatra Ho To Aurat Aur Bagair Darhiwale Ladke Par Nazar Dalna Haraam Hai.

Ladko Ko Dekhne Ka Hukm

Raddul Muhtar 1/285

Haya Aur Paak Damani 256

و الله اعلم بالصواب

 

Mufti Imran Ismail Memon Hanafi Chisti.

Ustad E Darul Uloom Rampura Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *