⭕AAJ KA SAWAL NO.2570⭕
1. Agar kisi shakhs ne ek admi ko koi cheez kharidne ko kahaa aur paise apne paas se diye to is vakeel ko Jaiz hai ke yah pausa kisi zaroorat se apne kaam me laye? fir muakkil (mangwane wale) ko apne paise se cheez khareed kar dede ?
2. Kharidne ke baad vakeel woh Cheez laa raha tha ke raste me vakeel se ek dost ne kahaa ke yah cheez mujh ko de do aur tum dusri, baazar se kharidkar muakkil (mangawane wale) ko de do to vakeel (lene wal ko aisa karna jaiz hai?
🔵AAJ KA JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Vakeel (laane wala) shareeat me amanatdar hota hai amanat ko is tarah ka tasarruf (apni marzi ke mutabiq kisi kaam me istiamal karna) na-jaiz hai. (woh note bhi badalne nahi chahiye) agar woh paie apne kaam me apni marzi se isteamal kar liye to zaamin hoga (agar woh paise ya layi hui cheez bagair galaty kare, kho jaye (barbaad ho jaae) to vakeel (laane wale) ka apna nuqsan samjha jayega ab mangwane wale ka nahi) woh ameen (amanatdaar) nahi raha
(Agar apni marzi me Isteamal na karta woh note ya cheez mahfooz rakhta aur woh cheez bagair bhul ke barbaad ho jati to uska paisa vakeel (laane wale) ko dena nahi padta woh nuqsan muakkil mangwaane wale ka hee hota)
2. Muakkil (mangwane wale) ke paise se jo cheez kharidi hai usko kisi dost ke haath me bechna durust nahi yah maalik ki bagair ijazat ke soda hoga jo mangwane wale asal maalik ki ijazat par mavqoof rahega woh haan kahe to kisi ko woh cheez bechna sahih aur na kahe to kisi dost ko bechna sahih nahi wohi cheez kisi ke paas se wapas lakar asal mangwaane wale dena zarooree hai.
📗fatawa mahmudiya (dabhel) jild 16/safa 455 se makhooz aasan karne ke sath
و الله اعلم بالصواب