MANKOOHA AURAT KE NAME KE SATH KIS KA NAME?
⭕AAJ KA SAWAL No. 2937⭕
Shadi shuda aurat ka apne naam ke sath shohar ka naam likhna ye islami tareeqah nahi hai lihaza apne baap hee ka naam likhna chahiye ye baat saheeh hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا مسلما
Naam likhne se maqsad taaroof aur pehchan hai quraan e kareem aur hadees Shareef se baap aur shohar dono ke naam ke sath ta’aruf karana sabit hai, is ko gair islami tareeqah kehna saheeh nahi.
📘MAHMOODUL FATAWA 4/412 SE MAKHOOZ
📗BA HAWALA SURAH E MARYAM WA MISHKAT SAFA 571,574
و الله اعلم بالصواب
✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India