SAWAL
MARD AUR AURAT JAB PAAK HAI TO UN KI SHARMGAH KA ZAHIREE HISSA PAAK HAI YA NAPAK..?
AGAR HAMBISATAREE KE WAQT MARD AURAT KO APNI SHARM GAH MUNH ME DEWE YA CHATAYE YA US KI SHARMGAH CHUME TO JAIZ HAI YA NAHI?
AESA MASAIL PUCHHNE SE SHARM MAHSOOS HOTI HAI LEKEEN ZAROORATAN DARYAFT KIYA JATA HAI.
JAWAB
Hazrat saiyyad mufti abdur raheem lajpooree rahmatullahi alayhi tahreer fatmate hai ke
deen ke masail aur ahkaam daryaft karne me sharmo haya ko aad nahee banana chahiye. Agar sharmo haya ka lihaz kar ke deenee ahkam maloom na kiye jayen to sharee ahkam ka ilm kaise hoga?
Quraan me hai, Allah taala haq baat kehne me kisi ka lihaz nahi karta.
Be shak sharm gah ka zahiree hissa paak hai lekeen ye zarooree nahi ke har paak cheez ko munh lagaya jaye aur munh me liya jaye us ko chuma jaye aur chata jaye.
naak ki rutoobat -nik sende-paak hai to kiya naak ke andar ke hisse ko zuban lagana aur us kee rutoobat ko munh me lena pasandeedah aadat ho sakti hai? Aur us ki ijazat ho sakti hai..!?
Pakhane ki jaga ka zahiree hissa bhi naapak nahi. paak hai to kiya us ko bhi chumne chatne ki ijazat hogi..?
Nahi, hargiz nahi. isee tarah mard kee apnee sharmgah aurat me munh me dena jaiz nahi. sakht makrooh aur gunah hai.
Jis munh se woh Allah ka naam letee hai. huzoor sallahu alyhe wasallam par durood shareef padhtee hai. quran shareef padhtee hai us munh me napakee dalne ko kaise gawara kiya ja sakta hai! astagfirulah!
Ek Shayar kehta hai,(farsi shear ka tarjamaa)
‘hazaar bar dhowun apne munh ko mushko gulab se
Fir bhi tera naam lena kamale be adabee hai.’
Ye gair qaumon ka culture hai aur print aur electronic midea ke galat istiamal ki nahoosat hai jo islamee mijaz ke bilkul khilaf hai. sharn gah chumna kutton, bakron wagaieah haywanat ki khaslat ke mushabah hai. aur munh me dena to aesi buree cheez hai ke nar janwar bhi apnee maadaon ke sath aesa nahi karte.
Ye to us surat me jab mard ki sharmgah ke sakhti paida na hui ho aur sakhti paida ho gai ho fir bivi ke munh me sharmgah me dee jaye to mazee (mani se pehle nikalnewala pani) ka nikalna yaqeenee hai aur mazee galeez najasat aur sakht napaa hai. napaki ko munh me dena aur lena haraam hai. aur aaj kal ki gairon ki tahzeeb me mukh methun karna yani munh me mani kharij karne sakht haraam aur intihaee gheenawani harkat hai.
(fatawa raheemiyah jadeed 10/178 ba hawala aalamgiree hazfo izafe ke sath)
Allah taala puree ummat ki gairon kibtahzeeb aur midea ke galat istiamal se pooree hufazat farmayen. Aameen.