MOBILE PAR BAR BAR YA MASHGOOLI KE WAQT PHONE KARNA

MOBILE PAR BAR BAR YA MASHGOOLI KE WAQT PHONE KARNA

⭕ AAJ KA SAWAL No. 2875 ⭕

Mobile ke ooper mukammal Ring bajane ke bad, Jis se Ye Yaqeen ho jata hai ki, Samne Wale Ko Phone Aane ki ittila ho Gayi hai, Phir bhi Bar Bar phone karna Kaisa Hai..?

🔵 JAWAB 🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Mobile Per Ghanti is Taur Per Baj jaaye, Jis Se iska Yaqeen ya Zanne Gaalib (Pakka Yaqeen) Ho jaaye, Ke samne wale ko mere phone karne ki ittila ho gayi hai, Aisa 3 Ring se bhi pata chal jata hai to teen hi martabah Ring bajaye, Agar out going ko alag se charge naa lagta ho to, Uspar iktifa kiya jaye. Agar samne wale ko charge Lagta ho, kaam bhi apna ho to Phone ki mukammal Ring ek baar Bajayi Jaaye, Taake Aasani se Phone Utha Len, Hadees, Quraan ki Aayat ka mafhoom hai ke Darwaze per Dastak Dene ke bare mein Aata hai ki, Teen martabah Dastak dekar ijazat Lee Jaaye Aur Teesri martabah ijazat na milne per wapas chale jaaye, Kyun ke Wo Aadmi Gusal karne mein ya Namaz mein yah Baitul Khala (Toilet) Ya khane ya aur koi zaroori kaam me mashgool hai, Yaa Milna nahin chahta hai, Bar-Bar Phone kar ke use majboor aur pareshan Naa kiya jaye Aur ye yaad Rahe ke jo Aam’Taur par Aisi mashgooli ka waqt hota hai, Aise waqt me Phone karna jis se Takleef Pahunch Sakti ho Jaiz nahi, Agar Bila Waqfah Doosri Bar Phone kiya, Jis se Takleef Pahunchi to ye Haraam kaam kiya, Aisa Gunah kiya jo Tauba se Bhi Mu’aaf nahi hoga. Magar Ye ke Us Shakhs se Mua’afi Maang Len.

📗 MAARIFUL QURAAN SURAH E NOOR AAYAT 28 KI TAFSEER SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

🌙🗓 ISLAMI TAREEKH :
9 ZOO QADAH 1443 HIJRI

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi

🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *