MUHARRAM ME SHADI
⭕ AAJ KA SAWAL NO.2926⭕
Muharram ke mahine me shadi karna, rukhsati kar ke walima karna, bachhe ki khatna karvana, khushi ka koi Kaam karna jaiz hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Jaiz hai, shariat me uski mumaniat ki koi daleel nahin, baaki badi shakhsiyton ki shahadat se pure saal ka koi mahina khali nahi is wajha se sab maheene me nikah se bachna mumkin nahi aur shareeat me kisi ke intiqal par 3 din se zaaid sog manana jaiz nahin rakha gaya.sirf bivi apne shohar ke intiqal par 4 mahine 10 din iddat me sog manati hai
lihaza shadi aur walima wagairah is din me aur tamaam ashra e muharram me bila shuba jaiz hai.
📗IMDADUL MUFTIYEEN JILD 1SAFA 96
Is mah me nikah na karne ki rasm ko khatm karne kiye nikah karne me zayada sawab milega. Ek Rewayat ke mutabiq Hazrat Ali aur Hazrat Fatima radeeallahu anhuma ka nikah Muharram ke mahine mein hua tha seerate Mustafa Mein Maulana Mohammed Idrish Kandhelvi rh. likhte Hain isee Sal yani san 2 hijri Mein ismein ilhtilaf Hai Ke Mahina kaun sa tha zulhijjah ya muharram ya safar Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne apni sab se Chhoti Sahab shaadi Hazrat Fatima r.a.ki shaadi Ali r.a.se Farmai.
📘Seerat e Mustafa jild 2 Safa 171
aur baaz muarrilheen ne Muharram ke mahine Mein Hi Nikah ke call ko rajih-zayada saheeh qarar Diya Hai
🗃️Darul ifta Jamitul Uloomil Islamia binori town fatawa number 14390
و الله اعلم بالصواب
ISLAMI TAREEKH : 1 MUHARRAMUL HARAAM1444 HIJRI
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.