MUHARRAM ME SIRF EK ROZA RAKHNA AUR BAGEIR SEHRI KA ROZA RAKHNE KA HUKM | 1488
Sawal:
- Aashorah Ke Rozah Ki Kya Fazilat Hai?
- Rozah Kon Se Din Rakhna Hai?
- Ek Rozah Rakh Sakte Hain?
- Bageir Sahri Ka Rozah Rakh Sakte Hain?
- Aashurah Ke Rozah Ke Saath Qazaa Ki Niyyat Karne Ka Kya Hukm Hai?
Jawab: حامد و مصلیا و مسلما
“Muharram Me Sirf Ek Roza Rakhna Aur Bageir Sehri Ka Roza Rakhne Ka Hukm”: Aashura Ka Roza Rakhne Se Guzishta Ek Saal Ke Sageera Gunah Muaaf Ho Jate Hain.
Do Roze Na Rakh Sakte Ho To Ek Rozah Rakhna Bhi Jaiz Hai. Lekin Munasib Nahin Hai. Haz. Maulana Manzoor Nuamani R.A. Farmate The Ke Yahoodiyon Ki Tarikh Ka Time Table Ab Alag Hai Lihaaza Ab Mushabahat Ki Kharabi Mere Khayaal Me Baaqi Nahin Rahi.
Ek Rozah Rakh Sakte Hain Lekin Ek Rozah Rakhna Makruhe Tanzihi Hai Lekin Us Ek Rozah Ka Sawab To Milega.
“Muharram Me Sirf Ek Roza Rakhna Aur Bageir Sehri Ka Roza Rakhne Ka Hukm”
fatawa Mahmudiyah Jild.10 Safah 193 Dabhel Ba Hawala Maraqiyul Falah 640 Wa Aalamgiri 1/202 Se Maakhooz.
Bageir Sahri Ke Aashorah Ka Aur Nafil Rozah Rakh Sakte Hain. Lekin Sahri Ki Sunnat Chhut Jayegi.
Aashurah Ke Rozah Ke Saath Agar Qazaa Ki Niyyat Kare To Asal To Qaza Roza Hi Ada Hoga Ashoorah Ki Fazeelat Milne Ke Baare Me Ikhtilaf Hai Ba’az Ulama Kehte Hain Us Din Rozah Ke Aetamam Ki Wajah Se Ummeed Hai Ke Aashoorah Ki Fazeelat Bhi Mil Jayegi.
Subah Sadiq Ke Ba’ad Rozah Ko Todnewali Cheez Paish Na Aayi Ho To Zawal Se Pehle Niytat Kar Sakte Hain.
Fatawa Raheemiya Aur Kitabul Fataawa
Fatawa Qasmiya 21/396
Mufti Imran Ismail Memon
Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India