MULAAZAMAT (Job) KE WAQT ME DOOSRAA KAAM KARNAA
⭕AAJ KA SAWAL NO.2877⭕
kisi dukaan ya Factory me koi mulaazmat (job) kartaa ho, to uske liye dukaan me ya factory ke waqt me apnaa zaati (personal) kaam karnaa jaiz hai ya nahin ?
Aur nafal namaaz padh sakte hain ?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Awqat e mulaazmat me apni-apni di hui zimmedaariyon ko chhod kar kisi doosre kaam me mashgool hona ya waqt se pehle hi kaam chhod denaa durust nahin.
aksar mulaazimin hazraat ka yahi haal hai : woh kaam ke awqaat me daftar ya idaare me rahte hain lekin jo kaam unhen supurd kiyaa gayaa usey anjaam nahin dete, balki idhar-udhar time paas karte hain, yaa baaton, gupshup aur mobile me lage rahte hain, yah bilkul na-jaiz hai.
Mulaazmat ke waqt me nafl namaz padhne ki bhi ijazat nahi.
و الله اعلم بالصواب
📘muhaqqaq va mudallal jadid masaail safa 470
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon Hanafi.
🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.