SAWAL
MUNCHH ME ASAL SUNNAT KIYA HAI?
- LAB-HONTH NAZAR AAYE ITNE BAAL KATNA
- ASTRE SE PURI MUNCHH MUNDNA
- ITNI BARIK PURI MUNCH KATNA KE KE IS SE ZAYADA KATNE KI GUNJAISH NA RAHE.
JAWAB
MUNCH KO ITNA KAATA JAYE KE MUNDNE QAREEB HO JAYE(
[FATAWA MAHMOODIYYAH BA HAWALA SHAMI 2/550 KITABUL JINAYAT
BAHRUR RAAIQ 3/19]
HADEES SHAREEF ME IHFU AUR JUZWA KA LAFZ AAYA HAI JIS KE MAANA MUBALAGE YANI ZAYADA BARIK KARNA AATA HAI
(MUSLIM SHAREEF 1/129 BABU KHASAILE FITRAT
TAHAWEE SHAREEF)
HONTHO KE BAL KO ITNA KATNA KE KINARAH NAZAR AA JAYE (YE BHI SAHEEH HAI)
AUR MUNDNE ME IKHTILAF HAI BAZON NE BIDAT AUR BAZON NE IJAZAT LIKHI HAI NA MUNDANE ME AETIYAT HAI.
(MIRQAT BAHISHTI ZEWAR 224)
SUNNAT YE HAI KE MUNCHHO KE BAAL KHUB BARIK KATAYE ( FATAWA ALAMGIRI)