DADHI KA KYA HUKM HAI..?

SAWAL

DADHI KA KYA HUKM HAI..?

JAWAB

DARHI CHARO TARAF SE EK MUSHT-MUTHTHI SE ZAID KO KAATNA DURUST HAI.

KAAN KI LAW KE SAMNE KI HADDI KE UPAR KE BAAL SAR ME SHUMAR HOTE HAI. HADDI KE NICHE KE BAAL DARHI ME SHUMAR HOTE HAI USE KATNA HARAM HAI.

HONTH KE NICHE THODI KE BICH ME JO BAAL HOTE USE DARHI KA BACHCHI KEHTE HAI.WOH HISSA BHI DARHI KE HUKM ME HAI USE KATNA BHI HARAAM HAI.

(AL MINHAL 1/187)

BACHHI KE AGAL BAGAL-AAJU BAJU KE BAAL KATNA BHI JAIZ HAI. USE CHHOD DENA BEHTAR HAI.

GAAL KE (HANSTE WAQT) UBHRE-FULE HUWE HISSE KE BAAL KATNA JAIZ HAI NA KATNA BEHTAR HAI.

( FAIZUL BARI 4/380)

( DARHI AUR ANBIYAA KI SUNNATEN SAFA 70,74)

GARDAN KE BAAL MUNDNA DURUST HAI.

(AHSANUL FATAWA 8/76)

DARHI MUNDNA YA EK MUSHT SE KAM KARNA HARAM HAI AUR AESA GUNAH JO HAR GHADI LAGATAAR HAMESHA JARI REHTA HAI.ALLAH JAWAB DENA BHEJNE AUR PADHNEWALON KO IS SE BACHNE KI TAUFEEQ ATA FARMAYEN AMEEN

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *