MUSAFAH AUR MUAANAQAH KA WAQT

🔴AAJ KA SAWAL NUMBER -2836🔴

MUSAFAH AUR MUAANAQAH KAB KARE ?

🔵JAWAB🔵

حامد و مصلیا و مسلما

Jab bhi musalman bhai se mulaqat ho sab se pehle use salaam kare fir musafah kare pahal karne wale par Allah ta’ala ki 90 rahmate utarti hain aur dusre par 10 aur juda hone se r Allah ta’ala dono ki magfirat farma dete hain
📗Mazahire haq

Musafah salaam ka takmilah hai ya’ani usse salaam mukammal hota hai aur salaam ke ba’ad karna chahiye.

Eid ke din namaz ke ba’ad masjid me musafah shiyon ki mushabahat ki wajah se manaa hai masjid ke baahar agar mulaqat na huyi ho to mulaqat ki niyyat se musafah kare.
Eid ki khas sunnat aur tareeqah samjh kar na kare

Aur muanaqah (gale milna) safar se aane ke ba’ad ya pehli baar mulaqat ho rahi ho to muanaqah karna chahiye eid ki makhsoos rasm samjhkar muanaqah na kare

Mulla ali qari Rahmatullahi alayhi ne likha hai fir bhi koyi musafah ke liye haath barhaye to haath na khinche haath khinchne me uski zillat hogi aur use taklif pahonchegi aur yeh haraam hai us waqt musafah kar le fir pyar muhabbat se samjha de garz nafrat ka mahol paida ho aisi koi surat ikhtiyar na kare.

Ham aehle sunnat wal jama’at hain jo ibadat Huzur SALALLAHU ALAIHI WASALLAM aur sahaba RADEEYALLAHU ANHUM aur tabieen aur tabe tabieen Rahmatullahi Alayhi jis tarah jis darje me sabit hogi usee tarah ham amal karenge to hi sunnat ada hogi aur sawab milega apni taraf se zarra barabar kami beshi hamare akabireen ko gawara nahin hai aur yahi sirate mustaqeem sidha aur najat ka rasta hai.

📚Masaile aadabo mulaqat 83 se 86

و اللہ اعلم

📝 Mufti Imran Ismail Memon.

🕌 Ustaze Darul Uloom Rampura,Surat, Gujarat,india

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *