MUSHABAHAT KA MATLAB AUR IBRATNAK QISSAH

⭕AAJ KA SAWAL NO.2646⭕

Jo kisi qaum ki mushabat ikhtiyar kare woh unhee me se hai is ka kya matlab hai?tafseel se batayen

🔵JAWAB🔵

حامد ومصلیا و مسلما

Hadees ka matlab yah hai ke jo shakhs kisi bhi gair qaum (mazhab walon) ki mushabahat, naqqali aur copy unki mazhabee cheezon me unki mazhabi nishaniyon, khushi aur gami me karega uska hashr ya’ani qayamat ke din uthaya jana unhi ke saath hoga us shumar bhi kafiron me hoga yani un ke liye azab aur jahannam me jaane ka faisla hoga to is mazhabi mushabahat karne wale ke liye bhi azab aur jahannam me jaane ka faisla hoga.

Hashar ka matlab samjhne ke Allah ne duniya hee me kai waqiaat hame dikha diye jis me se ek muatabar waqiaa paish karta hun.

NASRANIYON KE TAUR-O-TARIQE PASAND KARNE WALE AALIM KA IBRATNAAK QISSAH

📄Hazrat imaam-e-Rabbani Maulana Rashid Ahmad Gangohi rh.ne irshad farmaya :

Kanpur me koi nasrani jo kisi aa’la ohde par tha woh muslaman ho gaya tha, Magar asliyyat chhupa rakhi thi,
Ittefaq se uska tabadla (transfer) kisi dusri jagah ho gaya, usne un maulvi sahab ko jisse usne islam ki baaten sikhi thi, apne tabadla se muttale’a kiya (ittela di) aur tamanna ki ke kisi deendaar shakhs ko mujhe den, jisse ilm haasil karta rahun, chunanche maulvi sahab ne apne ek shagird ko unke saath kar diya,

Kuchh arse baad yah nasrani (jo musalman ho chuka tha) woh bimar huwa to maulvi sahab ke shagird ko kuchh rupiye diye, aur kahaa ke jab me mar jaun aur isaai jab mujhe apne qabristan me dafan kar aaye to raat ko jaa kar mujhe wahaan se nikalna aur muslamano ke qabristan me dafan kar dena,

Chunanche waisa hi huwa, jab maulvi sahab ke shagird ne hasbe wailsiyyat jab qabr kholi to dekha ke usme wo nasrani nahin, Albatta woh maulvi sahab pade huwe hain, to sakht pareshan (sharminda) huwe ke yah kya maazra hai..! Mere ustaad yahaan kaise..!

Aakhir daryaft se malum hua ke maulana sahab nasrani ke tauro tariqo ko pasand karte the aur use achchha jaante the.

📘(Irshadate hazrat gangohi rh. safa 65)

👇🏻👇🏻👇🏻
Mere bhaiyo,
yah maulvi sahab sirf gairon ke tariqon ko pasand karte the, us par chalte nahi the, to Allah ne duniya hi me jiska tariqa unko pasand tha uske saath hashr kar diya,

Ham to gairon ke tariqon par chalte hain, balke us par naaz karte hain, aur fakhr se manate hai to hamara kyaa hashr hoga..!
socho

Aur apni shaklo surat, libaas, rahan sahan, khushi gami me islami tariqon ko layen aur ham gairon ke tyohar manane se bachen

👏🏻Allah hamen taufiq de.
Aameen

و الله اعلم بالصواب

✏Mufti Imran Ismail Memon, Hanafi, chishti, sahab

🕌Ustad e Darul Uloom Rampura, Surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *