namaz ke makruhat (Makruhe tahrimi)

β­•AAJ KA SAWAL NUMBER 2649β­•

Namaz me Makruhe tahrimi kaam ho jaye to kya hukm hai ?

Namaz me makroohe tahrimi kyaa kyaa hai ?

πŸ”΅JAWABπŸ”΅

Makruhe tahrimi se namaz ka sawab is ke darjat ke aetibar se kam ho jata hai
Baaz muhtaat muftiyane ikraam aisi namaz ko Jald se jald waqt ke andar aur waqt nikalne baad bhi lotana wajib kehte ke hai.
Aor baaz baaz muftiyane ikraam ye kehte hai ke aisee chizo me namaz karahat ke saath poori ho jaayegi dohrana wajib nahi.

Ehtiyaat yehi samajh me aati hai ke namaz dohra le.

Namaz ke aise makruhe tahrimi hasbe zail hai.πŸ‘‡

πŸ”΄(1) sadl yani kapdon ko latkaana jese chaadar, saal, sar par daal kar us ke dono kinaare latkaa dena, ya kafni ya kot ya sherwaani biger us ke ki aastino me haath daale jaae kandho par daal lena.
Takhnon ke niche pent latkane ko bhi Allamah ibne shami ne sadl me shumar kar ke makruhe tahrimi kaha hai.

πŸ”΄(2) kapdon ko mitti se ya astari kharab hone se bachaane ke liye haath se rokna ya sametna.

πŸ”΄(3) apne kapdon ya badan se khelna jaise nakhun chhilna, naak ko ungli se kuredna.

πŸ”΄(4) paakhana ya peshaab ki haajat hone ki haalat me namaaz padhna.

πŸ”΄(5) mardo ko apne baalo ko sar par jama karke chota baandhna. aurto ko aesa kar ke namaaz padhna behtar he.

πŸ”΄(6) kankariyo ko bar bar hataana, lekin agar sajdah karna mushkil ho to ek baar hataane me haraj nahi.

πŸ”΄(7) ungliyaan chtakhaana ya ek haath ki ungliyan dusre haath ki ungliyon me daalna.

πŸ”΄(8) kamar ya kokh ya kulhe par haath rakhna.

πŸ”΄Β (9) qible ki taraf se munh pher kar dekhna makruhe tahrimi aur sirf nigaah Kanakhniyon-dide se idhar-udhar dekhna makruhe tanzihi hai

πŸ”΄(10) kutte ki tarah bethna, yani rane khari karke bethna aur raano ko pet se aur ghutno ko sine se mila lena aur haatho ko zamin par rakh lena. sirf panje par bethna makruhe tanzihi hai

πŸ”΄(11) sajdo me dono kalaaiyo ko zamin par bichhaa lena mard ke liye makruh he.

πŸ”΄(12) kisi aese aadmi ki taraf namaaz padhna jo namaazi ki taraf munh kiye betha ho.

πŸ”΄(13) aesi saf ke piche akele khada hona jis me jagah khaali ho.

πŸ”΄(14) chaadar ya koee aur kapda is tarah lapet kar namaaz padhna ki jaldi se haath na nikal sake.

πŸ”΄Β (15) Kuhniyon tak aastin chadha kar namaz padhna.
Agar jaldi me na utari ho to namaz ke dauran hi ek hath se waqfe waqfe se -thaher thaher ke utar le, ek rukn -tin baar sub’han rabiyyal azeem kaha jaye itni der tak lagatar na utare.

πŸ“šKITABUL MASAIL 1/366,367
BA HAWALA SHAMI 2/522 ZAKARIYA

πŸ“—AHSANUL FATAWA 3/.404 se 446

πŸ“˜FATAWA QASMIYAH 7/397
و Ψ§Ω„Ω„Ω‡ Ψ§ΨΉΩ„Ω… Ψ¨Ψ§Ω„Ψ΅ΩˆΨ§Ψ¨

✏Mufti Imran Ismail Memon sahab

πŸ•ŒUstaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, india

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *