AAJ KA SAWAL NO. 2672
Namaz ka faasid hone ka kya matlab?
Kin chizon Se faasid ho jaati hai(toot) jaati hai?
JAWAB
Namaz ke mufsidaat un chizo ko kehte hain jinse namaaz faasid ho jaati hai, ya’ani toot jaati hai aur use lotaana (dohrana, fir se padhna) zaruri hai jaan bujh kar ho ya bhul kar, har haal me namaaz toot jaati hai.
Namaz ke mufsidat hasabe zail hai
(1) Namaz me kalaam (baat) karna jaan bujh kar ho ya bhool kar, thoda ho ya bahot, har surat me Namaz toot jaati hai.
(2) Be zarurat khankhaar ne aur galaa saaf karne se jis se aek aadh harf (lafz) bhi paida ho jaaye to namaz toot jaati hai,
haan ! majburi ke waqt khankhaar na durust hai aur Namaz nahin tooti.
(3) Kisi khat ya kisi kitaab par nazar padi aur us ko apni zaban se nahin, lekin dil hi dil me matlab samajh gaya to Namaz nahin tooti,
haan ! Agar zaban se padh le to namaaz jaati rahegi.
(4) Salaam karna ya’ani kisi aadmi ko salaam karne ke iraadah se salaam ya Allah hafiz ya assalaamu alaikum ya isee jaisa koi lafz keh dena.
(5) Salaam ka jawaaab dena ya chhink ne waale ko yarhamukAllah ya namaz se baahar waale kisi aadmi ki dua par aamin kehna.
(6) Kisi buri khabar par ‘innaa lillaahi wa innaa ilaihi raajioon’ padhna ya kisi achchhi khabar par ‘subhaanAllah’ kehna.
(7) Dard ya ranj ki wajah se aah..
ya aoh… ya uff… karna.
(8) Apne imam ke siwaa kisi dusre ko luqmah dena ya’ani qiraat (galaty) bataana.
(9) Qur’an sharif dekh kar padhna.
(10) Qur’an majeed padhne me koi badi Galaty karna.
(11) Amale kasir karna ya’ani koi aisa kaam karna jin se dekh ne waale yeh samjhe ki yeh aadmi namaaz nahin padh rahaa hai. Masalan do haath se topi durust karna ya dono haath chhod kar aastin utaarna.
(12) Khana-peena iraade se ho ya bhool se. pehle hi se munh me koi cheez ho to Chane ke barabar ho to fasid aur munh ke bahaar se khaye to til ke barabar ho to bhi faasid hogi.
(13) Do safo ki miqdaar ke baraabar chalna.
(14) Qible ki taraf se binaa majburi sinah pher lena.
(15) Naapaak jagah par sajadah karna.
(16) Satar khul jaane ki haalat me ek rukn ya’ani teen baar subhaan rabbiyil a’ala kehne ki miqdaar therna.
(17) Dua me aisi cheez maangna jo aadmiyo se maangi jaati ho, jaise ya Allah mujhe aaj so (100) rupiye de de.
(18) Dard ya musibat ki wajah se is tarah rona ki aawaaz me huroof zaahir ho jaaye. Allah aur jahannam ke khof se aisa roye to fasid na hogi.
(19) Baalig aadmi ka namaaz me qahqahaa maar kar (pura mu khol kar) aawaaz se hansna.
(20) Imam khade rehne ki se aage badh jaana wagerah…
TAALEEMUL ISLAAM
MASAILE NAMAZ
IMRAN ISMAIL MEMON HANFI GUFIRA LAHOO