NAMAZ KI PABANDI AUR GUNAH SE BACHNE KA TAREEQA

⭕ AAJ KA SAWAL NO.2838⭕

Hamne Ramzan me 5 waqt ki namaz ki pabandi barabar ki aur ramzan baad bhi pabandi ki niyyat ki lekin namazen rozana qaza ho rahi kisi kisi waqt ki padh leta hun to namaz ki pabandi ke liye aur gunah se bachne ke liye kya karna chahiye?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا و مسلما

Namaz wagairah ki pabandi aur gunah se bachne ke liye hazrat hakeemul ummat mujadeede millat maulana ashraf ali thanwi Rahmatullah Alayhi ne ek tadbeer-idea likha hai agar use dil par lekar amal kiya jaye to zaroor pabandi dobarah shurooa ho jayegi.
Hazrat likhte hai, jis ka khulasa ye hai ke koi bhi amal chhute ya koi gunah ho to apne upar jaani ya maali jurmana-penalty muqarar ki jaye to nafs sidha ho jayega.
Masalan jis roz meri fajr ki namaz qaza hogi to me 100 Rs.sadqah karunga har aadmi apni apni haisiyyat se paison ki itni miqdar tay kare jis ko nibha bhi sake aur nafs par bojh bhi pade.
Ya jani jurmana muqarar kare ke jo namaz meri chhutegi to us ki das guna qaza karunga masalan fajr ki do rakaat qaza ke sath mazeed 8 rakat is tarah das rakat padhunga ya us din naashta hee nahi karunga fulan gunah hoga to itna sadqah ya itni baar istigfar pehle karunga to aesa do tin baar karne hi se nafs qabu me aayega aur pabandi shurooa ho jayegi.insha Allah

📗MALFUZATE HAKEEMUL UMMAT SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanfi.Gufira lahoo

🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *