AAJ KA SAWAL No. 2561
[A] Agar masbooq-jis ki rakat-janaze ki takbeer chhut gai ho woh) aate hee Imam ki takbeer ka intizar kiye bagair hi namaz me shareek ho jaae uska kya hukm hai? [B] Agar koi Shakhs Namaze Janaza me aise waqt pahunche ke imam chaaro takbeere keh Chuka ho, to us ka kya hukm hai? [C] Namaze Janaza me masbooq takbeero ke darmiyan kya padhe?JAWAB
حامدا و مصلیا مسلما
[A] Agar masbooq aate hi Imam ki takbeer ka intizar kiye bagair namaz me shareek ho jaae to ye shirkat mu’atabar to hai, Lekin chun ke Namaze Janaza ki har takbeer ek raka’at ke qaaim muqaam hai isliye is takbeer ka koi A’itebar na hoga, Balke us takbeer Ko bhi imam ki Salam ke Baad do Baar kehna hoga. [B] Agar koi Shakhs Namaze Janaza me aise waqt pahuncha ke imam chaaro takbeere keh Chuka tha agar ye namaz me shareek hona chahta hai to fauran imam ke Salam Ferne se pehle pehle takbeer keh kar namaz me shareek ho jaae, phir imam ke Salam ke Baad teen takbeer keh kar Salam fer de. [C] Masbooq Ko agar is baat ka itminan ho ke Wah Janaza uthne se pehle takbeerat Azkaar wa dua ke sath adaa kar le ga to us Ko azkaare masnoonah Ko adaa kar Lena chahiye; Lekin agar Janaza uth jaane ka khof ho to aisi soorat me sirf chhuti hui takbeerat bagair dua ke kah le aur Salam fer de.و الله اعلم بالصواب