AAJ KA SAWAL NO.2603
Taajir ne khareedar ki talab par ba zariye transport maal rawana kiya, raste me maal zayea ho gaya to us nuksan ko taajir bardasht karega ya khareedar?
Aaj kal ke urf ke mutabiq taajir ke zimme nuksan aata ho to khareedar ke liye taajir se us nuksan ko wusool karna saheeh hai ya nahi?
JAWAB
حامدا و مصلیا و مسلما
Jo maal daak, rail, transport wagairah ke zariye se rawana kiya jaaye woh uske qabze me samjha jayega jisne yah hukm diya ho, agar khareedar ne likha ke fulan maal rail ya daak ya trasport me bhej do aur zayea ho gaya. Bechnewala zimmedar nahi, usne goya khareedar ke wakeel (yani courier, rail, ya trasport) ke hawale kar diya
Aur agar uska yah hukm na tha bechne wale ne khud apni marzi se bheja to bhejne se bechi huwi cheez ka supurd karna (hawale karna) nahi huva, lihaza bechnewala nuksan ka zimmedar hoga khareedar nahi.
ITRE HIDAYAH 102
MAHMOODUL FATAWA 3/26 QADEEM
JADEED 7/381
و الله اعلم بالصواب