Qarzdar Ka Talmatol Karna








Qarzdar Ka Talmatol Karna

⭕AAJ KA SAWAL No.3280⭕

Ek shakhs ne kisi mo qarz diya hai maqrooz ada nahi karta aur qarz denewala bar bar maangta hai fir bhi taalmatol karta hai us ka kya hukm hai?

🔵JAWAB🔵

حامدا و مصلیا مسلما

Bila kisi sharee uzr ke kisi ki raqam daba lena aur ba wajood wusat aur sahoolat ke mutalabe par bhi na dena sharee’at ki nigah me zulm aur haraam hai lihaza maqrooz ko chahiye ke jald se jald qarz ada kar de.l
Hazrat abu huraira radee Allahu anhu riwayat karte hai ke rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke maaldar shakhs ka taalmatol karna zulm hai

📕(MISHKAT SHAREEF 1/253

ek dusri hadees me huzoor sallallahu alaihi wasallam ne irshad farmaya ke maldar aadmi ka taalmatol karna us ki izzat aur saza ko halal kar deta hai.Hazrat Abdullah ibne mubarak r.a.farmate hai ke yani zaban se la’nat aur malamat -daant dapat ki jayegi aur saza ye hai ke use qaid kar diya jayega.

📕TIRMIZI SHAREEF 2/43

📗FATAWA DARUL ULOIM ZAKARIYA 5/487

و الله اعلم بالصواب

✍🏻 Mufti Imran Ismail Memon Hanafi
🕌 Ustaze Darul Uloom,
Rampur Surat, Gujarat, India

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *