Assalamualaykum,
Shariyat mein blood transfusion and blood transplant ka kiya hukum hai.
imran
Jaiz hai lekin us par Paisa aur gift nahi le sakte.niche ke sawal jawab se samjha ja sakta hai
Aaj ka bahut see Tanzime aur jamaten blood camp rakhti hai. Khoon allah ki dee hui imanat hai ham us ke malik nahi aur khoon napak hota hai blood camp khoon dete hai to woh usee waqt kaam me nahi aata balke jama rehta hai to ye khoon jama karna bila majboori hai isliye baaz Fatwe ki kitab me use na jaiz likha hai aur baaz ulamaa se bhi mene na jaiz hona suna hai.
🔵JAWAB🔵ؔ
Øامدا Ùˆ مصلیا مسلما
Mavjoodah daur hadsaat-aecsidant aur bimariyan pehle ke muqabale me zayada ho gai hai aur achanak jald se jald khoon mareez ke hi group ka milna mushkil hota hai jis ki wakha se jaan chali jati hai isliye jaan bachane ke liye is ko pehle se jama kar ke istiamal ke qabil bana kar taiyyar rakhna zaroori ho gaya lihaza blood camp bila muaawaza-free me khoon ka atiyya karna-donet karna jaiz hai.
KITABUN NAWAZIL JILD..SAFA 215,216 SE MAKHOOZ
ISLAMIC FIQAH ACEDMI FIQHI SEMINAR NO. 24 KERLA 3 MARCH 2015 KA FESLA
و الله اعلم بالصواب
*BLOOD DEKAR GIFT LENA*
â•AAJ KA SAWAL NO.1693â•
Blood camp me jo hazrat blood dete hai ya khidamat karte hai un ko zimmedaron ki taraf si gift dee jati to us gift ka lena kis ke liye jaiz aur kis ke liye na jaiz hai?
🔵JAWAB🔵ؔ
Øامدا Ùˆ مصلیا مسلما
Blood ko bechna yani us ka koi aewaz-badla lena haraam hai.lihaza jin logon khoon diya hai un ko gift lena jaiz nahi.
Han jin hazraat ne khoon nahi diya hai balke camp ko kaamyab banane ke liye khidmat dee hai ya camp me kisi mehman ko bolaya ho un ke liye gift lena jaiz hai.
NIZAMUL FATAWA JILD 1 SAFA 356 SE MAKHOOZ
و الله اعلم بالصوا
*