Assalamualaikum.
Mera sawal ye he k first copy product sell karna kesa he? Agar hum customer ko bata k bhi beche ki ye product first copy he.!! Abhi jese humare shahar Surat me ye business bahut aam ho gaya he! Mera pehle se textile ka kaam he agar as a side business ye first copy online/offline business shuru karna hoto kesa he? . .
COPMANY KI TREDMARK WALI PRODUCT KI COPY BECHNA
⭕ AAJ KA SAWAL NO.1393⭕
Aaj kal badi badi company ki products uski duplicate khareed kar ham bechte hain mashhoor company ka tredmark dekh kar grahak fouran mutawajjeh hota hai aur asli product ke muqabale me daam kam hone ki wajah se fouran kharid leta hai,
Ham grahak ko same copy keh kar dete hain asli keh kar nahin dete hain aur uska result bhi asli jaisa ya uske qareeb qareeb hota hai to aisi products bechne ka kya hukm hai?
🔵JAWAB🔵
حامدا و مصلیا و مسلما
Company apne us naam ko mashhoor karne ke liye us ki mukhtalif tareeqe se advertise ke pichhe lakho rupiye kharch karti hai,
Hukoomat me registration karvati hai usme use kaafi daud bhaag aur bahot paisa kharch karna padta hai aur hukoomat us company ko uska certificate deti hai jiske baad tredmark ke isteamal ki malik wohi company ho jaati hai us naam product bechne ka haq sirf usi company ka ho jaata hai aur qanoonan ab kisi ko bhi us naam se product banane ki ya uski copy bechne ki ijazat nahin hoti,
Uski copy bechna agarcheh copy keh kar ho asli keh kar grahak ko dhoka na diya jaa raha ho lekin ye company ke tredmark ko isteamal karne ke haq ki ek qisam ki chori, dhoka uski product ki goodwill se free me faidah uthana hai jo shar’an aur qanoona gunah hai aise aadmi ko saza ka mustahiq samjha jaata hai aur aise karobar karne walon ki dukan par raid bhi padti hai akhbaron me badnami bhi hoti.
Qur’an me Allah farmate hai ke
لا تاکلوا اموالکم بالباطل الا ان تکون تجارۃ عن تراض منکم(سورہ نساء آیت ۲۹)
Tum ek dusre ke maal ko na haq tareeqe mat khawo magar aapas ki razamandi se tijarat ho (to muzaiqah nahin)
Koi shakhs aap ki dukan ke naam se apni dukan khole to kya aap ko gawarah hoga?
Isee tarah company bhi raazi nahin hoti ke koi us ke naam se kisi bhi product ko beche hadees me kisi shakhas ka maal us ki dili razamandi ke bagair halal nahin.
Lihaza company ke registered tredmark ki kisi bhi cheez ki copy bechne ki tijarat halal nahin agarche copy keh kar hi bechte ho to bhi istarah bechna jaiz nahin is se bachna lazim aur zaruri hai.
📕FIQHI MAQALAT. JILD 1 SAFA 219 se 222 se makhooz izafe ke sath.
و الله اعلم بالصواب
✍🏻Mufti Imran Ismail Memon hanafi chisti.
🕌 Ustaad e daarul uloom Rampura surat, Gujarat, India.
✅Tasdeeq. 1.Hazrat mufti Junaid palanpuri d.b. Majlisul barkah kulaba mumbai
2.Mufti Farid kaavi
3.Mufti Ashfaq shirgar surti