Mangani ki rashme

207 viewsMUASHARAT ( Samajik )Nikah
0

ladki ka rishta tey ho jata he to mangani or munh mithe ki rasham ki jati he.. jese ladke ladki ko sath bitha kar anguthi pehnana, photo khinchvana, na mehramo ka milna or hath chumvana, rasham ke baad ladka ladki ka akele milna, phone me chat or call karna.. ispe roshni daale or shariyat se iski hesiyat bataye .. jazakallah

Online Fatawa Answered question February 19, 2024
Add a Comment
0

حامدا و مصلیا و مسلما

*_Shariat me ek fareeq ki jaanib se dusre fareeq (party) ke samne nikah ki tajweez (pukhtah irada) rakhe jaane ko “Mangni” kahaa jaata hai, jab fareeqe saani (dusri party) us tajweez ko manzoor kar leta hai to Mangni ka amal mukammal ho jata hai,_*

Shareeat ki nigah me iski haisiyat ek waade (ahdo payman, promise) ki hai, usko kisi uzre sharaee ke bagair todna gunah hai

Hazrat Ali Radeeyallahu anhu farmate hain ke Hazrat Fatimah Radeeyallahu anha ke liye paigame nikah lekar me Huzoor ﷺ ki khidmat me haazir huva, jab Aap ﷺ ke saamne baitha to khamosh ho gaya, khuda ki qasam, ke roab aur jalaal ki wajah se kuchh bol na saka, Khud Aap ﷺ ne daryafat kiya ke kaise aaye ho? Kya koyi kaam hai? Me khamosh raha tab Aap ﷺ ne farmaya shayad Fatimah ki mangani ke liye aaye ho mene arz kiya jee haan.

📗(AL BIDAYAH WAN NIHAYA 3/346)

Jise bargah e khudawandi me qubul farma liya gaya, bas zubani ke taur par sab kuchh tay ho gaya, na log ikaththha huve, aur na koyi aehtamam huva.

📗Muasharti. Masail safa 75

Lihaza mangani ke kiye sabko jama karna, badi ta’adad me mardon aurton ki haazri, unki dawat wagairah shar’an zaruri aur pasandidah nahin, balke khawateen (aurton) ki mavjoodgi jin kharabiyon ko paida karti hai, woh log jante hi hain is se bachna zaruri hai.

📕MANGANI SHADI KE MUTALLIQ PESH AANEWALE MASAIL KA HAL SAFA 13

Shareeat me mangani ek muaahada-aapas ka aegriment hai is ke hone ke ba wajood dono ajnabi aur naa mahram hi shumar honge ek dusre ko dekhne ki aur hath lagane ki bilkul ijazat nahi is me chand kharabiyan paai jati hai.

1. anguthi pehnane me ek dusre ko hath lagana lazim aata hai jo badi be hayai, be gairati aur haraam hai hathon aur aankhon ka khula huwa zina hai.

2.Ek dusre ke baju me bethenge to ladke ko ladkiyan dekhegi aur ladki ko ladken dekhenge is tarah ka makhloot-mix mailjol kai kharabiyan aur fitne ka sabab hai.

3.baz jaga ladke ko sone ki anguthi pehnai jati hai sone ka koi bhi zewar mard ke liye haraam hai sirf chandi ki sadi char masha yani 4 gram 374 miligram ki anguthi ki ijazat hai is se zayada wazan ki ijazat nahi.

4.saans sasra wagaira ke naraz hone ki fikr ki jati hai allah ki narazgi ki parwah nahi ki jati hai allah naraz ho gaya ye rishta hone se pehle hi toot jayega ya hone bad bhi ladai jhagde honge aur barkate aur sukoon khatm ho jayega

5.Ba qaidah logon ko jama kar ke istarah mangni karna Ye gair qaum ka tareeqa hai Huzoor SALALAHU ALAYHI WASALLAM ne farmaya jisne jis qaum ki mushabahat-copy ikhtiyar ki kal qayamat ke din us ka hashr usi ke sath hoga.

Lihaza jahan aesa tareeqa apnaya ja raha ho deendar logon ko chahiye use roke aur karewalon ko samjhaye logon ne na jaiz kam par rokna tokna chhod diya hai isliye log gairon ke tareeqon ko bila jijhak aur bila khof ikhtiyar kara shurooa kar diya hai. Allah hame is se bachne aur bachani ki taufeeq ata farmaye

ISLAAMI SHADI SE MAKHOOZ

و الله اعلم بالصواب

Online Fatawa Answered question February 19, 2024
Add a Comment